Merey Sarkaar Madine Me Bulaatey Rehna
Gham e Duniya Gham e ‘Uqba Se Bachate Rehna
Koi Mushkil Nahi Aisee Jo Na Taali Tum Ney
Mere Daata Meri Bigdi Ko Banaate Rehna
Hashr Ki Pyaas Mujhe Jab Ke Pareshan Karde
Jaam e Kauthar Ka Mujhe Aap Pilaate Rehna
Kaash Jalwa Mere Aaqa Jo Dikhaayain Mujh Ko
Me To Kehdunga Isey Aap Dikhaate Rehna
Koi Neki Nahi Daaman Me Mere Ya Madani
Mujh Siyaahkaar Ko Sarkaar Nibhaate Rehna
Hai Masaa-ib Me Ghiree Aap Ki Ummat Aaqa
Zulm-o-Zaalim Se Ise Aap Bachaate Rehna
Aaj Phir Se Mujhe Taiba Ka Banaaya Zaa-ir
Meri Qismat Ko Isee Tarha Jagaate Rehna
Dar Pe Sarkaar Ke Haazir Hain Gulam e Ajami
Laaj Is Ki Mere Mukhtaar Bachaate Rehna
Aaj Taiba Se Chala Hoon Mein Watan Ki Jaanib
Apne Dar Par Mere Mukhtar Bulaate Rehna
Wehshat-e-Qabr Se Ghabraaye Jo Shakir Aaqa
Thapkiyaan Deke Use Aap Sulaate Rehna