Ye To Khawja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Khwaja Piya Ne Hum Ko Hai Ajmer Bulaya
Hum Ko Dayaar Apna Guharbaar Dikhaya
Auqaat Na Thi Meri Ke Ajmer Main Aao
Kya Khoob Mere Khwaja Ne Hum Ko Hai Nibhiya
Ye To Khawja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Darwaza e Jannat Pe Hume Laa ke Bithaya
Sadqa Hume Hasnain Ka Khwaja Me Dilaya
Hum Jaise Gunahgaaro Pe Khwaja Ka Karam Hai
Barkaate Madina Ka Bhi Ehsaas Karaya
Ye To Khawja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Khwaja Ki Chatti Aaj Hai Kya Dhoom Machi Hai
Har Jaa Durood e Paak Ki Mehfil Jo Saji Hai
Aisi Baras Rahi Hai Yaha Barish e Rehmat
Lagta Hai Jaise Ye To Madine Ki Gali Hai
Ye To Khawja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Khidmat Mein Hai Maamur Muballig Bhi Humare
Ye Sunni Dawate Islami Ke Sitare
Har Har Qadam Pe Khidmat e Insan Ke Jalwe
Har Zaair e Khwaja Ne Yahi Aaj Pukara
Ye To Khawja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Rizwan Ki Pehchan Tere Dar Se Hai Khwaja
Aur Deen Ka Irfan Tere Dar Se Hai Khwaja
Kalma Namaz Roza Zakat Haj Ho Ke Sunnat
Jo Kuch Mila Hai Tera Hi Faizan Hai Khwaja
Ye To Khawja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai