Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Banaaya Jo Mangta Karam Ho Khudaaya
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Banaaya Jo Mangta Karam Ho Khudaaya
Iraadon Pey Ghaalib Iraada Tera Hai
Tera Hukm Sab Par Hamesha Chala Hai
Ilaahi Jagaade Mera Bakhte Khufta
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Meri Lagzisho Par Karam Ka Qalam Ho
Isi Se Jahan Me Mera Ab Bharam Ho
Rahey Hashr Me Bhi Karam Ka Sahaara
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Tu Sunta Hai Sab Ki Hamaari Bhi Sunle
Ke Bando Me Khaas Apne Ham Ko Bhi Chunle
Mujeeb In Du’aaon Ko Maqbool Farmaa
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Mey Hoon Tera Saajid Tu Masjood Mera
Mey Hoon Tera Banda Tu Ma’bood Mera
Asaas e ‘Ibadat Mujhey Dey Dey Maula
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Tere Ghar Ke Chakkar Lagaata Hoon Maula
Yunhi Saarey ‘Isyaan Mitaata Hoon Maula
Raza Teri Haasil Ho Ab To Khudaaya
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Hai Rehmaan Tu Hee Hai Jawwad Tu Hee
Hai Ghaffar Tu Hee Hai Sattaar Tu Hee
Hamari Khataa-on Ko Tu Mu’af Farmaa
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Banaa Ham Ko Taalee e Qu’ran Ya Rab
Khule Ham Pe Asraar e Qu’ran Ya Rab
Ataa Ho Hamain Maahe Ramzan Ka Sadqa
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Mohabbat Me Aaqa Ki Shaam o Sahar Ho
Meri Zeest Ya Rab Isee Mey Basar Ho
Chiraag e Mohabbat Jale Yeh Hamesha
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Nazar Me Hai Ka’aba To Dil Mey Madina
Bhala Kaise Doobega Mera Safeena
Mujhe ‘Ilm Ka Bhi ‘Ataa Ho Khazeena
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Jeeyun Ban Key Maula Hamesha Me Shakir ‘
Inayat Habeeb e Khudaa Ki Ho Waafir
Bane Dil Bhi Zaakir Rasool e Khudaa Ka
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya