Karam Karte Hi Rehte Ho Karam Karte Hi Rehna Tum
Madiney Me Bulaate Ho Bulaate Yunhi Rehna Tum
Tasawwur Me Takhayyul Me Madine Aate Jaate The
Bulaaya Ab Madine Me Bulaate Yunhi Rehna Tum
Gira Hoon Baare Isyaan Se Agisnee Ya Rasool Allah
Gire Ko Tum Uthaate Ho Uthaate Yunhi Rehna Tum
Gham-e-Ishq-e-Muhammad Me Rahe Aankhen Hamesha Nam
Pilaate Jaam e ‘Ulfat Ho Pilaate Yunhi Rehna Tum
Nazar Ke Saamne Haazir Hain Aaqa Aap Ka Mujrim
Mitaao Is Key Jurmo Ko Mitaate Yunhi Rehna Tum
Mili Iftaar Ki ‘Izzat Mujhe Phir Maah e Ramzan Me
Khilaya Mujh Ko Qadmon Me Khilate Yunhi Rehna Tum
Mile Shab Qadr Ki Ne’mat Shaha Hamza Key Sadqe Me
Lutaate Unka Sadqa Ho Lutaate Yunhi Rehna Tum
Chala Hoon Phir Madine Sey Liye Armaan Yeh Dil Me
Bulaana Jald Taiba Me Bulaate Yunhi Rehna Tum
Muradain Sab Ne Paayee Hain Isi Sarkaar Me Aakar
Hansaya Tumne Roton Ko Hansate Yunhi Rehna Tum
Karam Sey Aap Key Jaaga Pisar Ka Bakhte Khufta Yun
Dikhaaya Usko Taibah Bhi Dikhaate Yunhi Rehna Tum
Yeh Maana Mujrimo ‘Aasee Tumhaara Shakir e Noorie
Nibhaate Isko Rehte Ho Nibhaate Yunhi Rehna Tum