Ho Jo Hatim Ko Mayassar Ye Nazara Tera
Keh Uthe Dekh Ke Bakhshish Me Ye Rutba Tera
Wah Kya Joodo Karam Hai Shahe Batha Tera
Nahi Sunta Hi Nahi Mangne Wala Tera.
Kuch Bashar Hone Ke Naate Tujhe Khud Sa Jaane
Aur Kuch Mahaz Payaami Hi Khuda Ka Jaane
Inki Aukaat Hi Kya Hai Ke Ye Itna Jaane
Farsh Wale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaane
Kusrawa Arsh Pe Udta Hai Pharera Tera.
Kai Pushton Se Ghulami Ka Ye Rishta Hai Bahaal
Yahi Tifli Aur Jawaani Ke Bitaaye Maho Saal
Ab Budhape Me Khudara Hume Yoon Dar Se Na Taal
Tere Tukdon Pe Pale Ghair Ki Thokar Pe Na Daal
Jhidkiya Khaaye Kaha Chchod Ke Sadqa Tera.
Ghame Dauran Se Ghabraiye To Kisse Kahiye
Ab Apni Uljhan Kise Batlaiye Kisse Kahiye
Cheer Kar Dil Kise Dikhlaiye Kisse Kahiye
Kiska Muh Takiye Kaha Jaaiye Kisse Kahiye
Tere Hi Qadmon Pe Mit Jaaye Ye Paala Tera.
Nazre Ushshaqe Nabi Hai Ye Mera Harfe Ghareeb
Mimbare Waaz Pe Ladte Rahe Aapas Me Khateeb
Ye Aqeeda Rahe Allah Kare Mujh Ko Naseeb
Mai To Maalik Hi Kahunga Ke Ho Maalik Ke Habeeb
Yani Mehboobo Muhib Me Nahi Mera Tera.
Tujh Se Har Chand Woh Hai Qadro Fazaail Me Rafee’
Kar Naseer Aaj Magar Fikre Raza Ki Tausee’
Paas Hai Uske Shafa’at Ka Waseela Bhi Waqee’
Teri Sarkar Me Laata Hai Raza Usko Shafee’
Jo Mera Gaus Hai Aur Laadla Beta Tera.