Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai
Faslo Ko Khudaya Mita Do
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai.
Gausul Azam Ho Gausul Wara Ho,
Dastagir Aur Mushkil kusha Ho
Kya Bayan Aapka Martaba Ho
Noor Ho Noor e Salle Ala Ho
Aaj Deedar Apna Kara Do
Jaaliyo Pe Nigahe Jami Hai
Wajd May Aayega Saara Aalam
Jab Pukarenge Ya Gause Azam
Woh Nikal Aayenge Jaliyo Se
Aur Qadmon May Gir Jayenge
Fir Kahenge Ke Bigdi Bana Do
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai
Sun Rahe Hai Woh Fariyad Meri
Khak Hogi Na Barbaad Meri
Mai Kahin Bhi Maru Shah e Jeelaan
Rooh Pohnchegi Bagdaad Meri
Muj Ko Parwaz Ke Par Laga Do
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai
Ek Mujrim Siyahkar Hu Mai
Har Khata Ka Sazawaar Hu Mai
Mere Charo Taraf Hai Andhera
Roshni Ka Talabgar Hu Mai
Ek Diya Hi Samajkar Jala Do
Jaaliyo Per Nigahe Jami Hai
Fikr Dekho Khayalat Dekho
Ye Aqeedat Ye Jazbaat Dekho
Mai Hu Kya Meri Awqaat Dekho
Saamne Kaisi Hai Zaat Dekho
Aye ADEEB Apna Sar Ab Jhooka Do
Jaliyo Per Nigahe Jami Hai.