Naate’n Sunenge Aur Jahaan Ko Sunayenge

Naate’n Sunenge Aur Jahaan Ko Sunayenge,
Deewane Kaise Tum Ko Bhala Bhul Payenge.

Jab Bhi Sajegi Mehfil e Milad e Mustafa,
Aashiq Tumhari Yaad Mein Aansoo Bahayenge.

Aye Aashiq e Rasool Mubarak Ho Aap Ko,
Sarkar Aaj Qabr Mein Jalwa Dikhayenge,

Kitna Haseen Hoga Wo Manzar Ke Jis Ghadi,
Unki Hi Naat Aap Unhi Ko Sunayenge.

Nana Hasan Hussain Ke Apne Ghulam Ko,
Mehshar Mein Apno Haathon Se Kausar Pilayenge.

Qamruzzaman Ke Pyare Aye Shakir Ali Ke Chain,
Ahle Sunan Kabhi Na Tumhe Bhool Payenge.

Maa Ro Padegi Baccho Ne Pucha Jo Ye Sawal,
Abbu Hamare Laut Ke Kab Ghar Ko Aayenge.

Sabr e Jameel Bakhshna Ahlo Ayal Ko,
Mere Khuda ! Wo Jab Bhi Inhe Yaad Aayenge.

Sa’adi Wo De Gaye Yahi Paigham Aakhri,
Ham Sab Ko Unki Yaad Me Jeena Sikhayenge.

Janab Ahmed Raza Saadi ( MSDI – Nandurbar Maharashtra)