Nigaare Ambiya Ban Kar Muhammad Mustafa Aaye

Nigaare Ambiya Ban Kar Muhammad Mustafa Aaye
Rasoole Do Sara Ban Kar Muhammad Mustafa Aaye

Zamee(n) se Ta Falak Ik Noor Ka Sailaab Aaya Hai
Nabi Mahe Laqa Ban Kar Muhammad Mustafa Aaye

Bahaare Aa Gayi Hai Aamina Ke Paak Hujre Mein
Karaare Walida Ban Kar Muhammad Mustafa Aaye

Gareebon Bekason ka Bebason Ka Aasra Ban Kar
Yateemon Ki Dua Ban Kar Muhammad Mustafa Aaye

Unhe Qad-Jaa-akum Noorun Kaha Hai Rabbe Aalam Ne
Sarapa Noor Ka Ban Kar Muhammad Mustafa Aaye

Hui Thi Aap Hi Se Ibtida Imkaane Aalam Ki
Hain Sab ki Intiha Ban Kar Muhammad Mustafa Aaye

Andhere Mit Gaye Saara Jahaa(n) Raushan Hua Saaim
Ziyaaon Ki Ziya Ban Kar Muhammad Musfafa Aaye