Gareeb Aaye Hai Dar Par Tere Gareeb Nawaz Manqabat Lyrics

Gareeb Aaye Hai Dar Par Tere Gareeb Nawaz
Karo Gareeb Nawazi Mere Gareeb Nawaz

Tumhare Dar Ki Karamat Yeh Baraha Dekhi Humne,
Aaye The Gareeb Aur Ho Gaye Gareeb Nawaz.

Tumhari Zaat Se Mera Bada Talluq Hai 
Ke Mai Gareeb Bada Tum Bade Gareeb Nawaz

Laga Ke Aas Badi Door Se Mai Aaya Hoon
Musafiroon Pe Karam Kijiye Gareeb Nawaz.

Huzoor Ashraf-e-Simna Ke Naam Ka Sadqa,
Hamari Jholi Ko Bhar Dijiye Gareeb Nawaz

Na Mujh Sa Koi Gada Hai Aur Na Tum Sa Koi Kareem
Na Dar Se Uthunga ,Be Kuch Liye Gareeb Nawaz

Zamane Bhar Se Mujhe Kar Diya Gani ” Saiyed ”
Mai Sadke Jaoon Mere,Jog Ke Gareeb Nawaz.

Kalam Written By Mohaddis e Aazam e Hind