Maangenge Sarkaar Ke Dar Se Maangenge

Maangenge Sarkaar Ke Dar Se Maangenge
Nabiyon Ke Sardaar Ke Dar Se Maangenge

Jis Ke Noor Se Raushan Chaand Sitaare Hai
Do Aalam Mein Jis Ke Noor Nazaare Hai
Us Maahe Anwaar Ke Dar Se Maangenge

Dar Haidar Ka Hai Darbaar Muhammad Ka
Ghar Haidar Ka Hai Ghar Baar Muhammad Ka
Hum Haidare Karraar Ke Dar Se Maangenge

Kamli Wala Khaliq Ka Shahkaar Bhi Hai
Qaasim Bhi Hai Ghani Bhi Hai Mukhtar Bhi Hai
Qaasim aur Mukhtar Ke Dar Se Maangenge

Qad-Jaa’akum Taaj Hai Kamli Wale Ka
Arsh o Farsh Pe Raaj Hai Kamli Waale Ka
Arsh Ke ShahSawaar Ke Dar Se Maangenge

Aale Nabi Hai Maalik e Kul Jahaano Ke
Saaim Aal Hai Waaris Kul Khazaano Ke
Hum Aale Athaar Ke Dar Se Maangenge