Sab Se Achcha Maang Liya Aur Pyara Sab Se Maang Liya
Kamli Wala Maang Liya To Sab Kuch Rab Se Maang liya
Ek Hi Khazana Hai Dono Ka Dono Ki Khairaat Bhi Ek
Khalq Ke Rab Se Maang Liya Ya Shahe Arab Se Maang Liya
Aur Kisi Ke Dar Pe Jaana Hum Ko Bilkul Bhool Gaya
Shahe Madina Ke Darbaar Se Humne Jab Se Maang Liya
Usko Ko Mila ! Aur Itna Mila Phir Aur Koi Hasrat Na Rahi
Jisne Bhi Us Shah Ke Dar Se Husne Adab Se Maang Liya
Khol Diye Rehmat Ke Khazane Us Par Khaaliqe Akbar Ne
Saail Ne Jab Unke Karam Ko Un Ke Sabab Se Maang Liya
Usse Kahi Zyada Paaya Jo Bhi Maangne Wale Ne
Rehmate Aalam Qaasime Nemat Aali Nasab Se Maang Liya
Lafzon Ke Anwaar Ki Soorat Dil Ke Waraq Par Phail Gaya
Naat Ka Jo Unwaan Bhi Saaim Ummi Laqab Se Maang Liya