Saawan Hai Duroodon Mein Hai Ashq Duaon Mein
Aansoo Ho Bhare Jaise Taiba Ki Fazaaon Mein
Jo Jurm o Khata Lekar Aa Jaaye Madine Mein
Takhfeef Khuda Unki Karta Hai Sazaaon Mein
Choo Usko Nahi Sakti Dozakh Ki Hawa Tak Bhi
Jo Gumbaze Khazra Ki Aa Jaata Hai Chaaon Mein
Taiba Mein Tadapna Bhi Padta Hai Khamoshi Se
Fariyaad Bhi Karte Hai Khamosh Sadaaon Mein
Sarkaar Ke Zulfon Ki Aaqa Ke Paseene Ki
Khushboo Hai Abhi Tak Bhi Taiba Ki Hawao Mein
Daamaane Talab Khole Lakhon Hai Khade Mangte
Hoti Na Kami Dekhi Aaqa Ki Ataao Mein
Ghairon Ki Taraf Unki Uthti Na Nazar Dekhi
Ghairat Hai Ajab Saaim Taiba Ke Gadaao Mein