Baitha Hoon Rakht Baand Ke Saa’at Seher Ki Hai
Raunak Ajeeb Shehre Barely Mein Ghar Ki Hai
Sab Aake Poochte Hai Azeemat Kidhar Ki Hai
Shukre Khuda Ke Aaj Ghadi Us Safar Ki Hai
Jis Par Nisaar Jaan Falaah o Zafar Ki Hai
Shaut o Tawaaf o Saee Ke Nukte Sikha Diye
Ahraam o Halq o Kasar Ke Maani Bata Diye
Ramee o Waqoof o Nahar Ke Manzar Dikha Diye
Unke Tufail Hajj Bhi Khuda Ne Kara Diye
Asle Muraad Haazri Us Paak Dar Ki Hai
Saum o Salaat Hain Ke Sujood o Rukoo’ Hai
Har Chand Shara’ Mein Ye Ahammul Wuqoo’ Hai
Hubbe Nabi Na Ho To Ye Sab Laa Nafoo’ Hai
Saabit Hua Ke Jumla Faraaiz Furoo’ Hai
Aslul Usool Bandagi Us Taajwar Ki Hai
Jaa(n) Waar Du Ye Kaam Jo Mera Saba Kare
Baad Az Salaame Shauq Ye Pesh Iltijaa Kare
Kehta Hai Ik Ghulaam Kisi Shab Khuda Kare
Maahe Madina Apni Tajalli Ata Kare
Ye Dhalti Chandni To Pahar Dopahar Ki Hai
Sab Jauharo Ki Asal Tera Jauhare Ghina
Is Dhoom Ka Sabab Hai Tere Chashme I’tinaa
Mamnoon Tere Dono Hai Baani Ho Ya Bina
Hote Kaha Khaleel o Bina Kaaba O Mina
Laulaak Waale Saahib Sab Tere Ghar Ki Hai
Sar Par Sajaa Ke Hamd o Sana Ki Ghadoliyan
Woh Aashiqon Ki Bheed Woh Lehje Woh boliyan
Jaali Ke Saamne Woh Faqeeron Ki Toliyan
Lab Waa Hai Aankhen Band Hai Phaili Hai Jholiyan
Kitne Maze Ki Bheek Tere Paak Dar Ki Hai
Hai Daftare Nasab Mein Ye Izzat Likhi Hui
Kirtaas e Waqt Par Hai Ye Khidmat Likhi Hui
Pushton Se Ghar Mein Hai Ye Ibaarat Likhi Hui
Main Khanazaade Kuhna Hu Soorat Likhi Hui
Bando Kaneezo Mein Mere Maadar Pidar Ki Hai
Har Lamha Aashnaye Tabo Taab Hogi Aab
Duniya e Aabroo Mein Dure Naab Hogi Aab
Unka Karam Raha To Na Be Aab Hogi Aab
Dandaan Ka Naatkhwan Hoon Na Paayaab Hogi Aab
Naddi Gale Gale Mere Aabe Guhar Ki Hai
Dam Ghut Raha Tha Mahbase Qaalib Mein De Hawa
Tha Multajee Naseer ke Ya Rab Chale Hawa
Itne Mein Di Sarosh Ne Aawaaz Le Hawa
Sankee Woh Dekh Baade Shafa’at Ki De Hawa
Ye Aabroo Raza Tere Daamane Tar Ki Hai