Jo Koi Gham Sataye To Madina Yaad Kar lena
Na Dil Ko Chain Aaye To Madina Yaad Kar Lena
Sahara Be Saharo Ka Madawa Gham Ke Maaro Ka
Na Koi Kaam Aaye To Madina Yaad Kar lena
Umooman Zindagi Me Dukh Ke Din bhi Aa Hi jaafe Hai
Kabhi Lamhe Ye Aaye To Madina Yaad Kar Lena
Suna Hai Mushkilo Me Saath Koi Bhi Nahi chalta
Zamana Chchod Jaaye To Madina Yaad Kar Lena
Kabhi Ashko Ki Boli Bhi Khamoshi Me Badal Jaaye
Aur Dil Aansoo Bahaye To Madina Yaad Kar Lena
Hawaye Bhi Mukhalif Ho Ho Dariya Me Bhi Tugyani
Aur Kashti Doob Jaaye To Madina Yaad Kar Lena
Kabhi Jo Saas Bhikhri Ho Kabhi Dhadkan Jo Uljhi Ho
Na Dil Bhi Jo Sambhal Paaye Madina Yaad Karlena
Musibat Me To Har Koi Unhi Ko Yaad Karta Hai
Khushi Ahmed Jo Aaye To Madina Yaad Kar Lena