Main Hoon Tera Sawali
Aaqa Tera Sawali Maula Tera Sawali
Main Hoon Tera Sawali Aaqa Tera Sawali
Sarkar Madine Mein Bula Kyun Nahi Lete
Damaan Mein Mujhe Apne Chupa Kyun Nahin Lete
Main Aun Madine Meri Auqaat Nahi Hai
Sarkar Bulalein To Koi Barri Baat Nahi Hai
Kab Kehta Hoon Khaaron Khazeena Mujhe De Do
Aye Logo Faqat Yaad-E-Kareena Mujhe De Do
Jo Sab Se Haseen Hai Woh Nageena Mujhe De Do
Tum Saara Jahaan Le Lo Madina Mujhe De Do
Chashm-E-Karam Hi Naaz Ghulamon Pe Bhi Dalo
Sarkar Humein Apna Hi Deewana Bana Lo
Sadqe Mein Ghous Paak Ke Aur Khwaja Piya Ke
Allah Ke Mehboob Madine Mein Bula Lo
Allah Ka Ghar Khuld Ka Naqsha Nahi Dekha
Kuch Bhi Nahi Dekha Jo Madina Nahi Dekha
Aye Maut Meri Maut Zara Aur Thehr Ja
Main Abhi Sarkar Ka Rauza Nahi Dekha
Gar Tum Na Sunoge To Meri Kaun Sunega
Karam Tum Na Karoge To Karam Kaun Karega
Sarkar Tumhare Hain Hum Sarkar Tumhare
Sarkar Ghulaamon Pe Rahem Kaun Karega
Purnoor Madine Ki Fizaon Mein Bula Lo
Sadqe Mein Nawason Ke Humein Apna Bana Lo
Be-Yaar-O-Madadgaar Hain Daaman Mein Chupa Lo
Dooba Hai Safeena Mera Lillah Sambhalo
Unki Inayaatein Hain Bacha Jaa Raha Hoon Main
Ehsaan Unka Hai Ke Chala Jaa Raha Hoon Main
Lillah Sambhaaliye Mujhe Maula Sambhaaliye
Lillah Thaamiye Ke Gira Jaa Raha Hoon Main
Sultan-E-Najaf-O-Aaqa-O-Maula Ka Waasta
Karbal Ke Har Shaheed Ka Shohda Ka Waasta
De Do Mere Aaqa Mujhe Khayraat Karam Ki
Khawaja Ka Waasta Tumhein Daata Ka Waasta
Hum Par Huzoor Yunhi Nazar Aap Ki Rahe
Jaise Bani Hui Hai Hamari Bani Rahe
Sadqe Mein Panjtan Ke Yeh Mehfil-E-Nabi
Jaise Saji Hui Hai Hamesha Saji Rahe
Main hoon tera sawali main hoon tera sawali.
Aaqa tera sawali maula tera sawali.
Main Hoon Tera Sawali Aaqa Tera Sawali