Ishq ke rang me rang jaein jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo towseef o sana e shahe abraar me har lehzaa Guhar baar
Warna Wo Sayyid e Aali Nasabi han Wohi Ummi Laqabi Hashmi o Muttalabi o Arabi o Qarashi o Madani aur kahan hum se gunahgaar
Aarzoo ye he ke ho qualb muattar wo mutahhar wo munawwar wo mujalla wo musaffa dure aalaa jo nazar aae kahin jalwaae roo e shahe abraar
Jin ke qadmon ki chamak chaand sitaaron me nazar aae jidhar se wo guzar jaae wohi raah chamak jae damak jae mahak jae bane rownaq e gulzaar
Soongh lun khushbue geisoue Muhammad wo siya zulf nahin jis ke muquaabil ye banafsha ye suyunti ye chambeli ye gule laalaa o champaa ka nikhaar
Jis ki nakhat pe hein qurbaan gul o barg o saman naafa e aahoo e khutan baad e chaman boo e chaman naaz e chaman noor e chaman rang e chaman saaraa chaman zaar
Ik shahanshah ne bakhshe jo samarkand o bukhaaraa kissi mehboob ke rukhsaar ke til par magar ay Sayyid e Aalam teri namos teri azmat par
Ay Rasool e Madani aik nahin laakhon hein qurbaan gahe ishq ke har koocha o bazaar me sar apnaa hatheli pe liye phirte hein karne ko nisaar
Aap ke zikr me hein naghma saraa sare hadii/hudaa khuwane arab naghma nigaaraane ajam shawkate alfaaz adab azmate kirtaas o qalam baate sabaa mohje naseen
Dahne bulbule shiri lahane umriyo toti shabe mahtaab sitaare malak o hoor jinaa jin ki nawaon me duroodon ka hisaar
Warafahnaa lakazikrak ki iss aayaa e towseef ki towseef me tafseer me tashreeh me tawzeeh me tazmeen main har ehd ki shaamil he zabaan
Labe Hassan o Ravaahaa wa labe Fatemah Zahraa o Ali aabide bimaar Busairi dahane urfi o jaame labe saadi o razaa sab sarshaar
Ishq ke rang me rang jaae muhajir ho ke pakhtoun balonchi ho ke punjabi o sindhi ho k gujrati k memon kissi khitte ki qabeeley ki zaban is se nahin koyi sarokaar
Jaamae ishqe Mohammad jo pehen letaa he har khar ko wo phool banaa letaa he dunyaa ko jhukaa leta he kartaa he zamaane ko muhabbat ka shikaar
Ye muhaajir ki he saf aur ye punjaabi ki pakhtoun ki sindhi ki balonchi ki juda parh ke dikhao to kisi shehr ki masjid me kabhi aisi namaz
Haram e kaba me arafat ke maidaan me ya Roza e Sarkaar pe kyun shaane milaate ho wahan karte nahi rang ka aur nasl ka tum apni shumaar
Aye Adeeb Ab yun hi alfaaz ke ambaar me ham doobte reh jaein magar haq ki sanaa goyi adaa phir bhi naa kar paein ye jazbaat o zabaan o qalam o fikr o khayaal
Unki midhat to Malaaik ka wazifaa he Sahaaba ka tariqaa he ibaadat ka saleeqaa he ye khaaliq ka pasandeeda he Quran ka he iss me shiyaar