Unki Mehek Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hai Tazmeen

Noore Khuda Ne Kya Kya Jalwe Dikha Diye Hain
Seene Kiye Hai Raushan Dil Jagmaga Diye Hain
Lehra Ke Zulfe Mushkee(n) Naafe Luta Diye Hain
Unki Mehek Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain
Jis Raah Chal Diye Hai Koonche Basa Diye Hain

Aankhen Kisi Ne Maangi Jalwa Kisi Ne Maanga
Zarra Kisi Ne Chaha Sehra Kisi Ne Maanga
Badh Kar Hi Use Se Paaya Jitna Kisi Ne Maanga
Mere Kareem Se Gar Qatra Kisi Ne Maanga
Dariya Baha Diye Durbe Baha Hain

Gar Yoon Hi Rang Apna Mehshar Me Zard Hoga
Dozakh ke Dar Se Larzaa(n) Har Ek Fard Hoga
Tere Nabi Ko Kitna Ummat Ka Dard Hoga
Allah ! Kya Jahannam Ab Bhi Na Sard Hoga
Ro Ro Ke Mustafa Ne Dariya Baha Diye Hain

Apne Karam se Jo Do Ab To Tumhari Jaanib
Jo Jee Mein Aaye So Do Ab To Tumhari Jaanib
Paalo Humein Ke Kho Do Ab To Tumhari Jaanib
Aane Do Ya Dubo Do Ab To Tumhari Jaanib
Kashti Tumhi Pe Chhodi Langar Utha Diye Hain

Laazim Nahi Ke Koi Aise Hi Ranj Mein Ho
Jaa(n) Par Bani Ho Ya Phir Waise Hi Ranj Mein Ho
Unka Ghulam Chahe Jaise Hi Ranj Mein Ho
Unke Nisaar Koi Kaise Hi Ranj Mein Ho
Jab Yaad Aa Gaye Hai Sab Gham Bhula Diye Hain

Ahle Nazar Mein Tera Zehne Risaa Musallam
Duniya e Ilm o Fan Mein Hai Teri Jaa Musallam
Nazre Naseer Teri Tarze Nawa Musallam
Mulke Sukhan Ki Shaahi Tujh Ko Raza Musallam
Jis Simt Aa Gaye Ho Sikke Bitha Diye Hain