Shukre Khuda ki aaj ghadi us safar ki hai
Jis par nisaar jaan falaaho zafar ki hai
Garmi hai tap hai dard hai kulfat safar ki hai
Na shukr ye to dekh azeemat kidhar ki hai
Kis khaake paak ki tu bani khaake pa shifa
Tujh ko qasam janaabe maseeha ke sar ki hai
Aabe hayaat rooh hai zarqa ki boondh boondh
Ikseere aa’zame mise dil khaak dar ki hai
Hum ko to apne saaye mein aaraam hi se laaye
Heele bahaane walo ko yeh raah dar ki hai
Lut-te hai maare jaate hain yoon hi suna kiye
Har baar di woh amn ki gairat hazar ki hai
Woh dekho jagmaagti hai shab aur qamar abhi
Pahro nahi ki bisto chaharum safar ki hai
Maahe Madina apni tajalli ata kare
Yeh dhalti chandi to peher do peher ki hai
Man zaara turbati wajabat lahu shafa’ati
Un par durood jin se naveed in bushar ki hai
Us ke tufail Haj bhi Khuda ne kara diye
Asle muraad haazri us paak dar ki hai
Kaabe ka naam tak na liya Taiba hi kaha
Poocha tha hum se jisne ki nahzat kidhar ki hai
Kaaba bhi hai inhi ki tajalli ka ek zil
Raushan inhi ke aqs se putli hajar ki hai
Hote kaha Khaleelo bina Kaaba wa Mina
Laulaak waale saahibi sab tere ghar ki hai
Maula Ali ne waari teri neend par namaaz
Aur woh bhi Asr sab se jo aa’la khatar ki hai
Siddique balki gaar mein jaan us pe de chuke
Aur hifze jaa(n) to jaan furooze gurar ki hai
Haan tune unko jaan unhe fer di nsmaaz
Par woh to kar chuke the jo karni bashar ki hai
Saabit huwa ke jumla faraaiz furooa’ hai
Aslul usool bandagi us taajwar ki hai
Shar khair shaur saur sharar door naar noor
Bushra ki baargaah yeh Khairul bashar ki hai
Mujrim bulaye aaye hai “Jaauka” hai gawah
Phir rad ho kab yeh shaan Kareemon ke dar ki hai
Bad hai magar unhi ke hain baagi nahi hai hum
Najdi na aaye usko yeh manzil khatar ki hai
Tuf najdiyat na kufr na islaam sab pe harf
Kaafir idhar ki hai na udhar ki adhar ki hai
Haakim hakeem daado dawa den yeh kuch na den
Mardood ye muraad ye kis aayat, khabar ki hai
Shakle bashar mein noore ilaahi agar na ho
Kya qadr us khameera e maa- o madar ki hai
Noore Ilaah kya hai mahabbat Habeeb ki
Jis dil mein yeh na ho woh jagah khooko khar ki hai
Zikre Khuda jo unse juda chaaho najdiyon
Wallah zikre Haq nahi kunji sakar ki hai
Be unke waaste ke Khuda kuch ata kare
Haashaa galat galat yeh hawas be basar ki hai
Maqsood ye hain Aadamo Nooho Khaleel se
Tukhme karam mein saari karaamat samar ki hai
Unki Nubuwwat unki ubuwwat hai sab ko aam
Ummul Bashar aroos inhi ke pisar ki hai
Zaahir mein mere phool haqeeqat mein mere nakhl
Us gul ki yaad mein ye sada bul bashar ki hai
Pehle ho unki yaad ki paaye jilaa namaaz
Yeh kehti hai azaan jo pichle peher ki hai
Dunya mazaar hashr jahaa(n) hai Gafoor hain
Har manzil apne chaand ki manzil gafar ki hai
Un par durood jinko hajar tak kare salaam
Un par salaam jinko tahiyyat shajar ki hai
Un par durood jin ko kase be kasaa(n) kahen
Un par salaam jinko khabar be khabar ki hai
Jinno bashar salaam ko haazir hain assalaam
Yeh baargaah maalike jinno bashar ki hai
Shamso qamar salaam ko haazir hain assalaam
Khoobi inhi ki jot se shamso qamar ki hai
Sab behro bar salaam ko haazir hain assalaam
Tamleeq inhi ke naam to har behro bar ki hai
Sango shajar salaam ko haazir hain assalaam
Kalime se tar zabaan darakhto hajar ki hai
Arzo asar salaam ko haazir hain assalaam
Maljaa ye baargaah dua o asar ki hai
Shoreeda sar salaam ko haazir hai assalaam
Raahat inhi ke qadmon mein shoreeda sar ki hai
Khasta jigar salaam ko haazir hain assalaam
Marham yahi ki khaak to khasta jigar ki hai
Sab khuhko tar salaam ko haazir hain assalaam
Yeh jalwa gaah Maalike har khushko tar ki hai
Sab karro far salaam ko haazir hain assalaam
Topi yahi to khaak pe har karro far ki hai
Ahle nazar salaam ko haazir hain assalaam
Yeh gard hi to surma sab ahle nazar ki hai
Aasoo baha ki beh gaye kaale gunaah ke dher
Haathi dubaau jheel yahan chashme tar ki hai
Teri qaza khalifaye ahkaame zil jalaal
Teri riza haleef qazaa o qadar ki hai
Yeh pyari pyari kyaari tere khaana baag ki
Sard iski aabo taab se aatish sakar ki hai
Jannat me aake naar mein jaata nahi koi
Shukre Khuda naveed najaato zafar ki hai
Momin hoon mominon pe Raufo Raheem ho
Saail hoon saailon ko khushi laa nahar ki hai
Daaman ka waasta mujhe us dhoop se bacha
Mujhko to shaaq jaado mein is do peher ki hai
Maa dono bhai bete bhateeje azeez dost
Sab tujh ko saunpe milk hi sab tere ghar ki hai
Jin jin muraadon ke liye ahbaab ne kaha
Peshe khabeer kya mujhe haajat khabar ki hai
Fazle Khuda se ghaib shahadat hua inhen
Is par shahadat aayato wahyo asar ki hai
Kehna na kehne waale the jab se to iltijaa’
Maula ko qaulo qaailo har khushko tar ki hai
Un par kitaab utri bayanan likulli shaia
Tafseel jis mein ma a-baro ma gabar ki hai
Aage rahi ata woh ba qadre talab to kya
Aadat yaha ummeed se bhi beshtar ki hai
Be maange dene waale ki ne’mat mein gark hain
Maange se jo mile kise fehem us qadar ki hai
Ahbaab isse badh ke to shayad na paaye arz
Naa karda arz arz yeh tarze digar ki hai
Dandaa(n) ka na’at khwaa(n) hoon na paayaab hogi aab
Naddi gale gale mere aabe guhar ki hai
Dashte haram mein rehne de Sayyad agar tujhe
Mitti azeez bulbule be baalo par ki hai
Ya Rab Raza na Ahmade paareena ho ke jaaye
Ye baargaah tere Habeebe abar ki hai
Taufeeq de ki aage na paida ho khooye bad
Tabdeel kar jo khaslate bad peshtar ki hai
Aa kuch suna de ishq ke bolo(n) mein aye Raza
Mushtaaq tab’a lazzate soze jigar ki hai