Zamana Haj ka hai jalwa diya hai shahide gul ko
Ilahi taaqate parwaaz de parhaye bulbul ko
Bahare aayi joban par ghira hai abr rehmat ka
Labe mushtaaq bheege(n) de ijazat saaqiya mul ko
Mile lab se woh mushqee(n) mohr wali dam mein dam aaye
Tapak sun kar qume Isaa kahu masti mein qulqul ko
Machal jaau sawaale mudda’aa par thaam kar daaman
Behekne ka bahana paau qasde be ta-ammul ko
Dua kar bakhte khufta jaag hungame ijaabat hai
Hataya subhe rukh se shah ne shab-haaye kaakul ko
Zabane falsafi se amn kharqo iltiyaam asara
Panahe daure rehmat haaye yak saa-at tasalsul ko
Do shamba Mustafa ka Jum’aye aadam se behtar hai
Sikhana kya lihaaze haisiyat khoo e ta’ammul ko
Wufoore shaane rehmat ke sabab jur’at hai aye pyare
Na rakh bahare khuda sharminda arze be ta-ammul ko
Pareshani mein naam unka dile sad chaak se nikla
Ijaabat shana karne aayi gesuye tawassul ko
RAZA nuh sabzaye gardoo(n) hain kotal jiske maukib ke
Koi kya likh sake uski sawari ke tajammul ko