Woh suye lalazaar phirte hain
Tere din aye bahaar phirte hain
Tere din aye bahaar phirte hain
Jo tere dar se yaar phirte hain
Dar ba dar yun hi khwaar phirte hain
Dar ba dar yun hi khwaar phirte hain
Aah kal aish to kiye hum ne
Aaj woh be karaar phirte hain
Aaj woh be karaar phirte hain
Unke imaan se dono(n) baagho(n) par
Khaile lailo nahaar phirte hain
Khaile lailo nahaar phirte hain
Har charaghe mazaar par qudsi
Kaise parwana waar phirte hain
Kaise parwana waar phirte hain
Us gali ka gada hoon main jisme
Maangte tajdaar phirte hain
Maangte tajdaar phirte hain
Jaan hain jaan kya nazar aaye
Kyun adu girde gaar phirte hain
Kyun adu girde gaar phirte hain
Phool kya dekhu meri aankhon mein
Dashte Taiba ke khaar phirte hain
Dashte Taiba ke khaar phirte hain
Laakhon qudsi hain kaame khidmat par
Laakhon girde mazaar phirte hain
Laakhon girde mazaar phirte hain
Wardiyaa(n) bolte hain harkaare
Pehra dete sawaar phirte hai
Pehra dete sawaar phirte hai
Rakhiye jaise hain khanazaad hain hum
Mol ke aibdaar phirte hain
Mol ke aibdaar phirte hain
Haaye gaafil woh kya jagah hai jaha(n)
Paanch jaate hain chaar phirte hain
Paanch jaate hain chaar phirte hain
Baaye raste na ja musaafir sun
Maal hai raah-maar phorte hain
Maal hai raah-maar phorte hain
Jaag sunsaan ban hai raat aayi
Gurg bahre shikaar phirte hain
Gurg bahre shikaar phirte hain
Nafs ye koi chaal hai zaalim
Jaise khaase bijaar phirte hain
Jaise khaase bijaar phirte hain
Koi kyun pooche teri baat Raza
Tujhse kutte hazaar phirte hain