tehniyat aye mujrimo zaate Khuda Gaffaar hai
Arsh sa farshe zamee(n) hai farshe pa arshe baree(n)
kya niraali tarz ki naame Khuda raftaar hai
Chand shaq ho ped bole(n) jaanwar sajde kare(n)
‘Baarak-Allah’ marjaye aalam yehi Sarkaar hai
Jin ko suye aasmaa(n) failaa ke jal thal bhar diye
sadqa un haatho(n) ka pyare hum ko bhi darkaar hai
Lab julaale chashmaye kun mein gundhe waqte khameer
murde zinda karna aye jaa(n) tum ko kya dushwaar hai
Gore gore paau(n) chamka do khuda ke waaste
noor ka tadka ho pyare gor ki shab taar hai
Tere hi daaman pe har aasi ki padti hai nazar
ek jaane be khata par do jahaa(n) ka baar hai
Joshe toofaa(n) behre be paayaa(n) hawa na-saazgaar
Nooh ke Maula karam kar le to beda paar hai
Rehmatullil aalamee(n) teri duhaai dab gaya
ab to Maula be tarah sar par gunah ka baar hai
hairate(n) hain aaina daare wufoore wasfe gul
un ke bulbul ki khamoshi bhi labe izhaar hai
Goonj goonj utthe hain nagmaate Raza se bostaa(n)
kyun na ho kis phool ki midhat mein waa minqaar hai