Bheeni Suhani Subha Mein Thandak Jigar Ki Hai Naat Lyrics

Bheeni suhani subha mein thandak jigar ki hai
Kaliyaan khili dilon ki hawa yeh kidhar ki hai

Khubti huwi nazar mein ada kis seher ki hai
Chubti huwi jigar mein sada kis gajar ki hai

Daalen hari hari hai to baalen bhari bhari
Kishte amal pari hai yeh baarish kidhar ki hai

Hum jaaye aur qadam se lipat kar haram kahe
Sonpa Khuda ko yeh a-zamat kis safar ki hai

Hum girde Kaaba firte the kal tak aur aaj woh
Hum par nisaar hai ye iraadat kidhar ki hai

Kaalak jabee ki sajdaye dar se chchudaaoge
Mujhko bhi le chalo ye tamanna hajar ki hai

Dooba hua hai shauq mein zamzam aur aankh se
Jhaale baras rahe hain yeh hasrat kidhar ki hai

Barsa ki jaane waalon pe gauhar karoon nisaar
Abre karam se arz yeh meezaabe zar ki hai

Aagoshe shauq khole hai jin ke liye hateem
Woh fir ke dekhte nahi yeh dhun kidhar ki hai

Haan haan rahe Madina hai gaafil zara to jaag
O paau rakhne waale yeh jaa chashmo sar ki hai

Waaroon qadam qadam pe ki har dam hai jaane nau
Yeh raahe jaan fiza mere Maula ke dar ki hai

Ghadiyaa(n) gini hain barso ki yeh shubh ghadi firi
Mar mar ke phir ye sil mere seene se sarki hai

Allahu akbar apne qadam aur ye khaake paak
Hasrat malaaika ko jaha(n) waz’e sar ki hai

Me’raaj ka samaa(n) hai kahan pahuche zaairo
Kursi se oonchi kursi usi paak ghar ki hai

Ushshaaqe rauza sajda mein soo e haram jhuke
Allah jaanta hai ke niyyat kidhar ki hai

Yeh ghar yeh dar hai uska jo ghar dar se paak hai
Muzda ho be gharo ki salaa achche ghar ki hai

Mehboobe Rabbe arsh hai is sabz qubbe mein
Pehloo mein jalwa gaah Ateeqo Umar ki hai

Chaaye malaaika hain lagaataar hai durood
Badle hain pehre badli mein baarish durar ki hai

Saa’dain ka qiraan hai pehlu e maah mein
Jhurmat kiye hain taare tajalli qamar ki hai

Sattar hazaar subah hain sattar hazaar shaam
Yoon bandagiye zulfon rukh aathon pahar ki hai

Jo ek baar aaye dobaara na aayenge
Rukhsat hi baargaah se bas is qadar ki hai

Tadpa karen badal ke phir aana kaha naseeb
Be huqm kab majaal parinde ko par ki hai

Aye waaye be kasiye tamanna ki ab ummeed
Din ko na shaam ki hai na shab ko sahar ki hai

Yeh badliyaan na hon to karodon ki aas jaaye
Aur baargaah marhamate aam tar ki hai

Maa’soomo ko hai umr mein sirf ek baar baar
Aasee pade rahen to salaa umr bhar ki hai

Zinda rahen to haaziriye baargaah naseeb
Mar jaaye to hayate abad aish ghar ki hai

Muflis aur aise ghar se fire be ghani hue
Chaandi har ik tarah to yaha gadya-gar ki hai

Jaanaa(n) pe takya khaak nihaali hai dil nihaal
Haan be nawaao khoob yeh soorat guzar ki hai

Hain chatro takht saaya e deewaaro khaake dar
Shaaho ko kab naseeb yeh dhaj karro far ki hai

Us paak koo mein khaak ba sar sar ba khaak hain
Samjhe hai kuch yahi jo haqeeqat basar ki hai

Kyun taajdaaro khwaab mein dekhi kabhi yeh shai
Jo aaj jholiyon mein gadayaane dar ki hai

Jaaroo kashon mein chehre likhe hain mulook ke
Woh bhi kaha naseeb faqat naam bhar ki hai

Taiba mein mar ke thande chale jaao aankhen band
Seedhi sadak ye shehre shafa’at nagar ki hai

Aasi bhi hain chaheete yeh Taiba hai zaahido
Makka nahi ki jaanch jaha khairo shar ki hai

Shaane jamaal Taibaye janaa(n) naf’ae mahaz
Wus’at jalaale Makka mein soodo zarrar ki hai

Kaaba hai beshak anjum aara dulhan magar
Saari bahaar dulhanon mein dulha ke ghar ki hai

Kaaba dulhan hai turbate at-har naee dulhan
Ye rashke aaftaab woh gairat qamar ki hai

Dono(n) bani sajeelee aneelee bani magar
Jo pee ke paas hai woh suhaagan kunwar ki hai

Sar sabze wasl yeh hai siyaah posh hijr woh
Chamki dupatton se hai jo haalat jigar ki hai

Maao shumaa to kya ki khaleele jaleel ko
Kal dekhna ki unse tamanna nazar ki hai

Apna sharaf dua se hai baaqi raha qabool
Yeh jaane(n) in ke haath mein kunji asar ki hai

Jo chaahe unse maang ki dono jahaa(n) ki khair
Zar na-khareeda ek kaneez unke ghar ki hai

Roomi ghulam din habashi baandiya(n) shabe
Ginti kaneez zaado mein shaamo sahar ki hai

Itna ajab bulandiye jannat pe kis liye
Dekha nahi(n) ki bheek ye kis oonche ghar ki hai

Arshe baree(n) pe kyun na ho firdaus ka dimaag
Utree huee shabeeh tere baamo dar ki hai

Woh khuld jis mein utregi abraar ki baraat
Adna nichaawar is mere dulha ke sar ki hai

Ambar zamee(n) abeer hawa mushke tar gubaar
Adna si yeh shanaakht teri reh guzar ki hai

Sarkaar hum ganwaaro mein tarze adab kahaan
Hum ko to bas tameez yahi bheek bhar ki hai

Maangenge maange jaayenge muh maangi paayenge
Sarkaar me na laa hai na haajat agar ki hai

Uf be hayaaiya ki yeh muh aur tere Huzoor
Haan tu kareem hai teri khoo dar guzar ki hai

Tujhse chupaau muh to karoon kiske saamne
Kya aur bhi kisi se tawaqqo nazar ki hai

Jaau kahan pukaaroo(n) kise kis ka muh takoo(n)
Kya pursish aur jaa bhi sage be hunar ki hai

Baabe ata to yeh hai jo behka idhar udhar
Kaisi kharaabi us ni-ghare dar badar ki hai

Aabaad ek dar hai tera aur tere siwa
Jo baargaah dekhiye gairat khandar ki hai

Lab waa hai aankhen band hain faili hain jholiyaan
Kitne maze ki bheek tere paak dar ki hai

Ghera andheriyon ne duhaayi hai chaand ki
Tanha hoon kaali raat hai manzil khatar ki hai

Qismat mein laakh pech ho(n) so bal hazaar kaj
Yeh saari guththi ik teri seedhi nazar ki hai

Aisi bandhi naseeb khule mushkilen khuli
Dono jahaan mein dhoom tumhari kamar ki hai

Jannat na de(n) na de(n) teri rooyat ho khair se
Is gul ke aage kis ko hawas bargo bar ki hai

Sharbat na de(n), na de(n) to kare baat lutf se
Yeh shahed ho to phir kise parwah shakar ki hai

Main khaanazaad kuhna hoon soorat likhi hui
Bando(n) kaneezo(n) mein mere maadar pidar ki hai

Mangta ka haath uth te hi daata ki dain thi
Doori qaboolo arz mein bas haath bhar ki hai

Sankee woh dekh baade shafa’at ki de hawa
Yeh aabroo Raza tere daamaane tar ki hai