Hain Labe Isaa Se Jaa Bakhshi Lyrics

Hain labe Isaa se jaa(n) bakhshi niraali haath mein
Sangreze paate hain sheeri(n) maqaali haath mein

Be nawaao ki nigahein hain kaha(n) tehreere dast
Rah gaye jo paa ke joode laa yazaali haath mein

Kya lakeeron mein yadullah khat saro aasaa likha
Raah yun us raaz likhne ki nikaali haath mein

Joode Shahe kausar apne pyaaso(n) ka jooya hai aap
Kya ajab ud kar jo aap aaye pyaali haath mein

Abre naisaa(n) momino ko taige uryaa(n) kufr par
Jamaa’ hain shaane jamaali wa jalaali haath mein

Maalike kaunain hain go paas kuch rakhte nahi
Do jahan ki ne’mate hain in ke khali haath mein

Saaya afgan sar pe ho parcham ilahi jhoom kar
Jab liwaul hamd le ummat ka waali haath mein

Har khate kaf hai yaha(n) aye daste baizaaye kaleem
Mo’jazan dariyae noore be misaali haath mein

Woh giraa(n) sangiye qadre mas woh irzaaniye jood
Nauiyaa badla kiye sango la-aali haath mein

Dast geere har do aalam kar diya Sibtain ko
Aye main Qurbaa(n) jaane jaa(n) angusht kya li haath mein

Aah woh aalam ki aankhen band aur lab par durood
Waqf sange dar jabee(n) Rauze ki jaali haath mein

Jis ne baiat ki bahare husn par Qurbaa(n) raha
Hain lakeerein naksh taskheere jamaali haath mein

Kaash ho jaau labe kausar main yun warafta hosh
Le kar us jaane karam ka zail aali haath me

Aankh mahwe jalwaye deedar dil pur joshe wajd
Lab pe shukre bakhshishe saaki piyalee haath me

Hashr me kya kya maze waraftagee ke lu Raza
Laut jaau pa ke woh daamaane aali haath mein