Hirze jaa(n) zikre shafa’at kijiye
Naar se bachne ki soorat kijiye
Naar se bachne ki soorat kijiye
Unke naqshe paa pe gairat kijiye
Aankh se chup kar ziyaarat kijiye
Aankh se chup kar ziyaarat kijiye
Unke husne baa malaahat par nisaar
Sheeraye jaa(n) ki halaawat kijiye
Sheeraye jaa(n) ki halaawat kijiye
Unke dar par jaise ho mit jaaiye
Natawaano kuch to himmat kijiye
Natawaano kuch to himmat kijiye
Frr deeje panjaye deve laee
Mustafa ke bal pe taaqat kijiye
Mustafa ke bal pe taaqat kijiye
Doob kar yaade labe shadaab mein
Aabe kauthar ki sabaahat kijiye
Aabe kauthar ki sabaahat kijiye
Yaade qaamat karte uthiye qabr se
Jaane mehshar par qayaamat kijiye
Jaane mehshar par qayaamat kijiye
Unke dar par baithiye ban kar faqeer
Be nawaao fikre sarwat kijiye
Be nawaao fikre sarwat kijiye
Jiska husn Allah ko bhi bhaa gaya
Aise pyaare se muhabbat kijiye
Aise pyaare se muhabbat kijiye
Hayy baaqee jiski karta hai sana
Marte dum tak uski midhat kijiye
Marte dum tak uski midhat kijiye
Arsh par jiski kamaanen chad gayi
Sadqe us baazoo pe quwwat kijiye
Sadqe us baazoo pe quwwat kijiye
Neem wa Taiba ke phoolon par ho aankh
Bulbulo paase nazaakat kijiye
Bulbulo paase nazaakat kijiye
Sar se girta hai abhi baare gunaah
Kham zara farqe iraadat kijiye
Kham zara farqe iraadat kijiye
Aankh to uthti nahi kya de(n) jawaab
Hum pe be pursish hi rehmat kijiye
Hum pe be pursish hi rehmat kijiye
Uzr badtar az gunah ka zikr kya
Be sabab hum par inaayat kijiye
Be sabab hum par inaayat kijiye
Naa’ra kije Ya Rasoolallah ka
Mufliso saamaane daulat kijiye
Mufliso saamaane daulat kijiye
Hum tumhare hoke kis ke paas jaaye
Sadqa shehzaadon ka rehmat kijiye
Sadqa shehzaadon ka rehmat kijiye
“Man ra aani qad ra al haq” jo kahe
Kya bayaa(n) uski haqeeqat kijiye
Kya bayaa(n) uski haqeeqat kijiye
Aalime ilme do aalam hain Huzoor
Aapse kya arze haajat kijiye
Aapse kya arze haajat kijiye
Aap sultane jahaa(n) hum benawaa
Yaad humko waqte ne’mat kijiye
Yaad humko waqte ne’mat kijiye
Tujh se kya kya aye mere Taiba ke chaand
Zulmate gham ki shikaayat kijiye
Zulmate gham ki shikaayat kijiye
Dar badar kab tak fire(n) khasta kharaab
Taiba mein madfan inaayat kijiye
Taiba mein madfan inaayat kijiye
Har baras woh qaafilo ki dhoom dhaam
Aah suniye aur gaflat kijiye
Aah suniye aur gaflat kijiye
Phir palat kar muh na us jaanib kiya
Sach hai aur daa’waye ulfat kijiye
Sach hai aur daa’waye ulfat kijiye
Aqribaa hubbe watan be himmati
Aah kis kis ki shikaayat kijiye
Aah kis kis ki shikaayat kijiye
Ab to Aaqa muh dikhane ka nahi
Kis tarah raf-e nadaamat kijiye
Kis tarah raf-e nadaamat kijiye
Apne haatho khud luta baithe hain ghar
Kis pe daa’waye bizaa’at kijiye
Kis pe daa’waye bizaa’at kijiye
Kis se kahiye kya kiya kya ho gaya
Khud hi apne par malaamat kijiye
Khud hi apne par malaamat kijiye
Arz ka bhi ab to muh padta nahi
Kya ilaaje darde furqat kijiye
Kya ilaaje darde furqat kijiye
Apni ik meethi nazar ke shehad se
Chaaraye zehre musibat kijiye
Chaaraye zehre musibat kijiye
De Khuda himmat ki ye jaane hazee
Aap par waaren woh soorat kijiye
Aap par waaren woh soorat kijiye
Aap hum se badh ke hum par meherbaan
Hum kare jurm aap rehmat kijiye
Hum kare jurm aap rehmat kijiye
Jo na bhoola hum ghareebon ko Raza
Yaad uski apni aadat kijiye
Yaad uski apni aadat kijiye