Kya mehekte hain mehekne wale
Boo pe chalte hain bhatakne wale
Jagmaga uththi mere gor ki khaak
Tere qurbaan chamakne wale
Mahe be daag ke sadqe jaaoon
Yoon damakte hain damakne wale
Arsh tak faili hai taabe aariz
Kya jhalkte hain jhalakne wale
Gule Taiba ki sana gaate hain
Nakhle tooba pe chahakne wale
Aasiyon thaam lo daaman unka
Woh nahi haath jhatakne wale
Abre rehmat ke salaami rehna
Falte hain paude lachakne waee
Are yeh jalwa gahe jaanaa(n) hai
Kuch adab bhi hai fadakne wale
Sunniyon unse madad maange jaao
Pade bakte rahe bakne wale
Sham’e yaade rukhe jaanaa(n) na bujhe
Khaak ho jaaye bhadakne waale
Maut kehti hai ki jalwa hai qareeb
Ik zara so le bilakne wale
Koi un tez rawo(n) se keh do
Kiske ho kar rahen thakne wale
Dil sulagta hi bhala hai aye zabt
Bhuj bhi jaate hain dehekne wale
Hum bhi kumbhlaane se gaafil the kabhi
Kya hansa gunche chatakne wale
Nakhl se chchoot ke ye haal huwa
Aah O patte khadakne wale
Jab gire muh suye maikhana tha
Hosh mein hain ye behekne wale
Dekh O zakhme dil aape ko sambhal
Foot behte hain tapakne wale
Mai kaha(n) aur kaha(n) main zahid
Yoon bhi to chakte hain chakne wale
Kafe dariya karam mein hain Raza
Paanch fawwaare chalakne wale