Raahe irfaa(n) se jo hum nadeeda ru mahram nahi
Mustafa hai masnade irshad par kuch gham nahi
Mustafa hai masnade irshad par kuch gham nahi
Hoon musalma garche naakis hi sahi aye kaamilo
Maahiyat paani ki aakhir yam se nam mein kam nahi
Maahiyat paani ki aakhir yam se nam mein kam nahi
Gunche maa auha ke jo chatke danaa ke baagh mein
Bulbule sidra tak unki boo se bhi mahram nahi
Bulbule sidra tak unki boo se bhi mahram nahi
Usme zamzam hai ke tham tham is mein jam jam hai ke besh
Kasrate kausar mein zam zam ki tarah kam kam nahi
Kasrate kausar mein zam zam ki tarah kam kam nahi
Panjaye mehre arab hai jis se dariya beh gaye
Chashmaye khursheed mein to naam ko bhi nam nahi
Chashmaye khursheed mein to naam ko bhi nam nahi
Aisa ummi kis liye minnate kashe ustaad ho
Kya qifaayat usko ‘iqra rabbukal akram’ nahi
Kya qifaayat usko ‘iqra rabbukal akram’ nahi
Ous mehre hashr par pad jaaye pyaaso to sahi
Us gule khanda ka rona girya e shabnam nahi
Us gule khanda ka rona girya e shabnam nahi
Hai unhi ke dam qadam ke baaghe aalam mein bahar
Woh na the aalam na tha gar woh na ho aalam nahi
Woh na the aalam na tha gar woh na ho aalam nahi
Saaya e deewaro khaake dar ho ya Rab aur Raza
Khwahishe daiheeme qaisar, shauqe takhte jam nahi