Unki mahak ne dil ke gunche khila diye hain
Jis raah gaye hain kooche basaa diya hain

Jab aa gayi hai joshe rehmat pe unki aankhen
Jalte bujha diye hain rote hansaa diye hain

Ik dil humara kya hai aazaar is ka kitna
Tumne to chalte phirte murde jilaa diye hain

Unke nisaar koi kaise ho ranj mein ho
Jab yaad aa gaye hain sab gham bhila diye hain

Humse faqeer bhi ab feri ko uthte honge
Ab to ghani ke dar par bistar jama diye hain

Asra mein guzre jis dam bede pe qudsiyon ke
Hone lagi salaami parcham jhuka diye hain

Aane do ya dubo do ab to tumhari jaanib
Kashti tumhi(n) pe chhodi langar utha diye hain

Dulha se itna keh do pyare sawari roko
Mushkil mein hain baraati pukhaar wadiye hain

Allah kya jahannam ab bhi na sard hoga
Ro ro ke Mustafa ne dariya baha diye hain

Mere Kareem se gar qatra kisi ne maanga
Dariya baha diye hain durbe baha diye hain

Mulke sukhan ki shahi tumko Raza musallam
Jis samt aa gaye ho sikke bitha diye hain