Tooba mein jo sab se oonchi naazuk seedhi nikli shaakh
Maangu naate Nabi likhne ko Roohe Qudus se aisi shaakh

Maula gulbun, rehmat Zahra, Sibtain uski kaliyaa(n) phool
Siddiqo Faarooqo Usmaa(n), Haidar uski har ik shaakh

Shaakhe qaamate shah mein zulfo chashmo rukhsaro lab hai
Sumbul, nargis, gul, pankhadiya(n) qudrat ki kya phooli shaakh

Apne in baagho ka sadqa woh rehmat ka paani de
Jis se nakhle dil mein ho paida pyare teri vilaa ki shaakh

Yaade rukh mein aahen kar ke ban mein main roya aayi bahaar
Jhoomi(n) naseeme(n), naisaa(n) barsa, kaliya(n) chatki, mehki shaakh

Zaahiro baatin awwalo aakhir zaibe furoo’o zaine usool
Baaghe risaalat mein hai tu hi gul, guncha, jad, patti shaakh

Aale Ahmad khuzbiyadi Ya Sayyid Hamza qun madadi
Waqte khazane umre Raza ho barge huda se na aari shaakh