Tera Zarra Mahe Kaamil Hai Ya Gaus Manqabat Lyrics

Tera zarra mahe kaamil hai Ya Gaus
Tera qatra yame saail hai Ya Gaus

Koi saalik hai ya waasil hai Ya Gaus
Woh kuch bhi ho tera saail hai Ya Gaus

Qade be-saaya zille kibriyaa hai
Tu us be saaya zil ka zil hai Ya Gaus

Teri jaageer mein hai sharq taa garb
Qalam-rav mein haram ta hil  hai Ya Gaus

Dile ishqo rukhe husn aaeena hain
Aur in dono(n) mein tera zil hai Ya Gaus

Teri sham’a dil-aaraa ki tabo taab
Gulo bulbul ki aabo gil hai Ya Gaus

Tera majnoon tera sahra tera najd
Teri laila tera mahmil hai Ya Gaus

Yeh teri champayi rangat Husaini
Hasan ke chaand subhe dil hai Ya Gaus

Gulistaa(n) zaar teri pankhadi hai
Kali so khuld ka haasil hai Ya Gaus

Ugaal us ka udhaar abraar ka ho
Jise tera ulush haasil hai Ya Gaus

Ishaare mein kiya jisne qamar chaak
Tu us mah ka mahe kaamil hai Ya Gaus

Jise arshe duwwam kehte hain aflaak
Woh teri kursiye manzil hai Ya Gaus

Tu apne waqt ka Siddique e Akbar
Ghaniyyo Haidaro Aadil hai Ya Gaus

Wali kya mursal aaye(n) khud Huzoor aaye(n)
Woh teri waa’z ki mehfil hai Ya Gaus

Jise maange na paayen jaah waale
Woh bin maange tujhe haasil hai Ya Gaus

Fuyooze aalame ummee se tujh par
Ayaa(n) maazi wa mustaqbil hai Ya Gaus

Jo qarno(n) sair mein aarif na paaye(n)
Woh teri pehli hi manzil hai Ya Gaus

Malak mashgool hain uski sana mein
Jo tera zaakiro shaagil hai Ya Gaus

Na kyun ho teri manzil arshe saani
Ki arshe haq teri manzil hai Ya Gaus

Wahi(n) se uble hain saato(n) samundar
Jo teri neher ka saahil hai Ya Gaus

Malaaik ke bashar ke jinn ke halqe
Teri zau mahe har manzil hai Ya Gaus

Bukhaara wa iraaqo chishto ajmer
Teri lau sham’ae har mehfil hai Ya Gaus

Jo tera naam le zaakir hai pyaare
Tasawwur jo kare shaagil hai Ya Gaus

Jo sar dekar tera sauda khareede
Khuda de aql woh aaqil hai Ya Gaus

Kaha tune ki jo maango milega
Raza tujhse tera saail hai Ya Gaus