Gham ho gaye beshumar Aaqa
Banda tere nisaar Aaqa
Bigda jaata hai khel ye mera
Aaqa Aaqa sawaar Aaqa
Manjhdaar pe aake naav tooti
De haath ki hu main paar Aaqa
Tooti jaati hai peeth ye meri
Lillah ye bojh utaar Aaqa
Majboor hai hum to fikr kya hai
Tumko to hai ikhtiyaar Aaqa
Main door hu tum to ho mere paas
Sun lo meri pukaar Aaqa
Mujhsa koi ghamzada na hoga
Tumsa nahi gham gusaar Aaqa
Girdaab me padh gayi hai kashti
Dooba dooba, utaar Aaqa
Tum woh ki karam ko naaz tum se
Main woh ki badi ko aar Aaqa
Phir muh na pade kabhi khaza ka
De de aisi bahaar Aaqa
Jiski marzi khuda na taale
Mera hai woh naamdaar aaqa
Hai mulke khuda pe jis ka qabza
Mera hai woh kaamgaar Aaqa
Soya kiye nabakaar bande
Roya kiye zaar zaar Aaqa
Kya bhool hai inke hote kehlaaye
Duniya ke ye tajdaar Aaqa
Unke adna gada pe mit jaaye
Aise aise hazaar Aaqa.
Be abre karam ke mere dhabbe
La tagsilul bihaar Aaqa
Itni rehmat Raza pe kar lo
La taqrubuhul bawaar Aaqa.