Woh Sarware Kishware Risalat Naat Lyrics

Woh Sarware kishware Risalat jo arsh par jalwagar huye the
Naye niraale tarab ke saamaa(n) arab ke mehmaa(n) ke liye the

Bahaar hai shadiyaa(n) mubarak chaman ko aabaadiyaa(n) mubarak
Malak falak apni apni lai mein yeh ghar anaadil ka bolte the

Waha falak par yaha zamee(n) mein rachi thi shadi machi thi dhoome
Udhar se anwaar hanste aate idhar se nafhaat uth rahe the

Yeh chchoot padti thi unke rukh ki kie arsh tak chaandni thi chatki
Woh raat kya jagmaga rahi thi jagah jagah nasb aaine the

Naee dulhan ki phaban mein Kaaba nikhar ke sanwara sanwar ke nikhra
Hajar ke sadqe kamar ke ik til mein rang laakhon banaao ke the

Nazar mein dulha ke pyare jalwe haya se mehraab sar jhukaaye
Siyaah parde ke muh pe aanchal tajalliye zaat bahat se the

Khushi ke baadal umand ke aaye dilon ke taaus rang laaye
Woh nagmaye na’at ka samaa tha haram ko khud wajd aa rahe the

Yeh jhooma meezaabe zar ka jhoomar ki aa raha kaan par dhalak kar
Fuhaar barsi to moti jhad kar hateem ki god mein bhare the

Dulhan ki khushboo se mast kapde naseeme gustaakh aanchalo se
Ghilaafe mushki jo udh raha tha gazaal naafe basaa rahe the

Pahaadiyon ka woh husne tajee woh oonchi choti woh naazo tamqee(n)
Saba se sabza mein lehren aati dupatte dhaani chune hue the

Naha ke nahron ne woh chamakta libaas aabe rawaa(n) ka pehna
Ki mauje chadiyaa(n) thi dhaar lachka habaabe taabaa(n) ke thal take the

Puraana purdaag malgajaa tha utha diya farsh chaandni ka
Hujoome taare nigaah se koso(n) qadam qadam farsh baadale the

Gubaar ban kar nisaar jaaye kahaan ab us reh guzar ko paaye
Humare dil hooriyon ki aankhen farishton ke par jahaa biche the

Khuda hi de sabr jaane purgham dikhaau kyunkar tujhe woh aalam
Jab unko jhurmut mein leke qudsi jinaa(n) ka dulha bana rahe the

Utaar kar unke rukh ka sadqa yeh noor ka bat raha tha baada
Ki chaand sooraj machal machal kar jabee(n) ki khairaat maangte the

Wohi to ab tak chalak raha hai wohi to joban tapak raha hai
Nahaane mein jo gira tha paani katore taaron ne bhar liye the

Bacha jo talwon ka unke dhowan bana woh jannat ka rango rogan
Jinhone dulha ki paayi utran woh phool gulzaare noor ke the

Khabar yeh tehweele noor ki thi ki rut suhaani ghadi firegi
Waha ki poshaakh zaibe tan ki yaha ka joda badha chuke the

Tajalliye haq ka sehra sar par salaato tasleem ki nichaawar
Do rooya qudsi pare jamaa kar khade salaami ke waaste the

Jo hum bhi waa hote khaake gulshan lipat ke qadmon se lete utran
Magar kare kya naseeb mein to yeh naa muraadi ke din likhe the

Abhi na aaye the puste zee(n) tak ki sar hui magfirat ki shallak
Sada shafa’at ne di mubarak gunaah mastana jhoomte the

Ajab na tha rakhsh ka chamakna ghazaale dum khurda sa bhadakna
Shuaaye bukke udaa rahi thi tadapte aankhon pe saaiqe the

Hujoome ummeed hai ghataao muraaden de kar inhe(n) hataao
Adab ki baaghe(n) liye badhaao malaaeka mein yeh ghulghule the 

Uthi jo garde rahe munawwar woh noor barsa ki raaste bhar
Ghire the baadal bhare the jal thal umand ke jungle ubal rahe the 

Sitam kiya kaisi mat kati thi qamar! woh khaak unke reh guzar ki
Uthaa na laaya ki malte malte yeh daag sab dekhta mite the

Buraaq ke naqshe sum ke sadqe woh gul khilaaye ki saare raste
Mehakte gulbun lehakte gulshan hare bhare lehlaha rahe the

Namaaze Aqsa mein tha yehi sirr iyaa(n) ho(n) maa’niye awwal aakhir
Ki dast basta hai peeche haazir jo saltanat aage kar gaye the

Yeh unki aamad ka dabdabaa tha nikhaar har shai ka ho raha tha
Nujoomo aflaak jaamo meena ujaalte the khangaalte the

Naqaab ulate woh mehre anwar jalaale rukhsaar garmiyon par
Falak ko haibat se tap chadhi thi tapakte anjum ke aabale the 

Yeh joshishe noor ka asr tha ki aabe gauhar kamar kamar tha
Safaaye reh se phisal phisal kar sitaare qadmon pe laut te the

Badha yeh lehra ke behre wahdat ki dhul gaya naame reg kasrat
Falak ke teelo(n) ki kya haqeeqat yeh arsho kursi do bulbule the

Woh zille rehmat woh rukh ke jalwe ki taare chupte na khilne paate
Sunehri zar baft oodee atlas yeh thaan sab dhoop chaau ke the

Chala woh sarve chamaa(n) khiraamaa(n) na ruk saka sidra se bhi daamaa(n)
Palak jhapakti rahi woh kab ke sab eeno aa(n) se guzar chuke the

Jhalak si ik qudsiyon pe aayi hawa bhi daaman ki phir na paayi
Sawaari dulha ki door pahuchi baraat mein hosh hi gaye the

Thake the Roohul Amee(n) ke baazoo chuta woh daaman kaha woh pehlu
Rikaab chchooti ummeed tooti nigaahe hasrat ke walwale the

Rawish ki garmi ko jisne socha dimaag se ik bhabooka foota
Khirad ke jungle mein phool chamka dahar dahar ped jal rahe the

Jilau mein jo murge aql ude the ajab bure haalon girte padte
Woh sidra hi par rahe the thak kar chadha tha dum tewar aa gaye the

Qawi the murgaani wahm ke par ude to udne ko aur dum bhar
Uthaayi seene ki aisi thokar ki khoone andesha thook te the

Suna yeh itne mein arshe haq ne ki le mubarak ho taaj waale
Wohi qadam khair se fir aaye jo pehle taaje sharaf tere the

Yeh sun ke be khud pukaar uttha nisaar jaaoo(n) kahaa(n) hain Aaqa
Phir unke talwon ka paau bosa ye meri aankhon ke din fire the

Jhuka tha mujre ko Arshe aa’la gire the sajde mein bazme baalaa
Yeh aankhen qadmon se mal raha tha woh gird qurbaan ho rahe the

Ziyaaen kuch arsh par yeh aayi ki saari kindeele jhilmilaayi
Huzoore khursheed kya chamakte charaag muh apna dekhte the

Yehi samaa(n) tha ki paike rehmat khabar yeh laaya ki chaliye Hazrat
Tumhari khaatir kushaada hain jo Kaleem par band raaste the

Badh aye Muhammad qaree(n) ho Ahmed qareeb aa sarware mumajjad
Nisaar jaau ye kya nida thi yeh kya samaa tha ye kya maze the

Tabaarakallah shaan teri tujhi ko zaiba hai beniyaazi
Kahi(n) to woh joshe Lantaraani kahi(n) takaaze wisaal ke the

Khirad se keh do ki sar jhuka le gumaa(n) se guzre guzarne waale
Pade hain yaa(n) khud jihat ko laale kise bataaye kidhar gaye the

Suraage aino mataa kaha(n) tha nishaane kaifo ilaa(n) kaha(n) tha
Na koi raahi na koi saathi na sange manzil na marhale the

Udhar hai paiham takaaze aana idhar tha mushkil qadam badhana
Jalaalo haibat ka saamna tha jamaalo rehmat ubhaarte the

Badhe to lekin jhijhakte darte hayaa se jhukte adab se rukte
Jo qurb unhi(n) ki rawish pe rakhte to laakhon manzil ke faasle the

Par inka badhna to naam ko tha haqeeqatan fe’l tha udhar ka
Tanazzulon mein taraqqi afza dana tadalla ke silsile the

Hua na aakhir ki ek bajra tamawwuje bahre hoo mein ubhra
Dana ki godi mein unko lekar fana ke langar utha diye the

Kise mile ghaat ka kinaara kidhar se guzra kahaa(n) utaara
Bhara jo misle nazar taraara woh apni aankhon se khud chupe the

Uthe jo kasre dana ke parde koi khabar de to kya khabar de
Waha(n) to jaa hi nahi dui ki na keh ki woh bhi na the are the

Woh baag kuch aisa rang laaya ki gunchao gul ka farq uthaya
Girah mein kaliyon ki baag phoole gulon ke tumke lage hue the

Muheeto markaz mein farq mushkil rahe na faasil khutoote waasil
Kamaane hairat mein sar jhukaaye ajeeb chakkar mein daaere the 

Hijaab uthne mein laakhon parde har ek parde mein laakhon jalwe
Ajab ghadi thi ki waslo furqat janam ke bichde gale mile the

Zabaane sookhi dikha ke mauje(n) tadap rahi thi ki paani paaye
Bhanwar ko yeh zau’fe tishnagi tha ki halqe aankhon mein pad gaye the

Wohi hai awwal wohi hai aakhir wohi hai baatin wohi hai zaahir
Usi ke jalwe usi se milne usi se us ki taraf gaye the

Kamaane imkaa(n) ke jhoote nuqto tum awwal aakhir ke fer mein ho
Muheet ki chaal se to poocho kidhar se aaye kidhar gaye the

Idhar se thi nazre shah namaaze udhar se inaamo khusrawi mein
Salaamo rehmat ke haath gundh kar gulooye purnoor mein pade the

Zabaan ko intizaare guftan to gosh ko hasrate shuneedan
Yaha(n) jo kehna tha keh liya tha jo baat sunni thi sun chuke the

Woh burje batha ka maahpaara bahist ki sair ko sidhaara
Chamak pe tha khuld ka sitaara ki us qamar ke qadam gaye the

Suroore maqdam ki raushni thi ki taabishon se mahe arab ki
Jinaa(n) ke gulshan the jhaad farshee jo phool the sab kanwal bane the

Tarab ki naazish ki haa(n) lachakye adab woh bandish ki hil na sakiye
Yeh joshe ziddain tha ki paude kasha kashe arraa ke tale the

Khuda ki qudrat ki chaand haq ke karodon manzil mein jalwa kar ke
Abhi na taaro ki chaau(n) badli ki noor ke tadke aa liye the

Nabiyye rehmat Shafi’e ummat Raza pe lillah ho inaayat
Ise bhi un khil’aton se hissa jo khaas rehmat ke waa(n) bate the