Wah kya martaba aye Gaus hai baala tera
Unche uncho ke saro se qadam aa’la tera
Sar bhala kya koi jaane ke hai kaisa tera
Auliya malte hai aankhen woh hai talwa tera
Kya dabe jis pe himayat ka ho panja tera
Sher ko khatre me lata nahi kutta tera
Tu Hussaini Hasani kyu na Muhiyuddin ho
Aye khizr majmaye Bahrain hai chashma tera
Qasme de de ke khilata hai pilata hai tujhe
Pyara Allah tera chahne waala tera
Mustafa ke tane be saaya ka saaya dekha
Jisne dekha mere jaa(n) jalwaye zaiba tera
Ibne Zahra ko Mubarak ho aroose qudrat
Qadiri paaye tasadduq mere dulha tera
Kyu na Qasim ho ke tu Ibne Abil Qasim hai
Kyu na Qadir ho ke Mukhtar hai Baba tera
Nabavi Meenh Alavi fasl batooli gulshan
Hasani phool Husaini hai mahakna tera
Nabavi zil Alavi burj batooli manzil
Hasani chand Husaini hai ujaala tera
Nabavi khur Alavi koh batooli ma’din
Hasani la’al Husaini hai tajalla tera
Bahro bar shahro kura sahlo hujun dashto chaman
Kaun se chak pe pahunchta nahi da’wa tera
Husne niyyat ho khata phir kabhi karta hi nahi
Aazmaya hai yagana hai dogana tera
Arze ahwaal ki pyaso me kaha taab magar
Aankhen aye abre karam takti hai rasta tera
Maut nazdeek gunaho ki tahe(n) mail ke khaul
Aa baras ja ki naha dho le ye pyasa tera
Aab aamad woh kahe aur man tayammum barkhast
Mushte khaakh apni ho aur noor ka ahla tera
Jaan to jaate hi jaayegi qiyamat ye hai
Ki yaha marne pe tehra hai nazara tera
Tujh se dar, dar se sag aur sag se hain mujh ko nisbat
Meri gardan me bhi hai door ka dora tera
Is nishani ke jo sag hain nahi maare jaate
Hashr tak mere gale me rahe patta tera
Meri qismat ki qasam khaye sagane Baghdad
Hind me bhi hu to deta rahu pehra tera
Teri izzat ke nisar aye mere gairat wale
Aah sad aah ki yu khwar ho birwa tera
Bad sahi, chor sahi, mujrimo nakara sahi
Aye woh kaisa hi sahi hai to kareema tera
Mujhko ruswa bhi agar koi kahega to yuhi
Ke wohi na, woh Raza bandaye ruswa tera
Aye Raza yu na bilak tu nahi jayyid to na ho
Sayyide Jayyide har dahar hai Maula tera
Fakhre Aaqa me Raza aur bhi ik nazme rafee’
Chal likha laaye sana khwano me chehra tera