Rashke maahtaab hai
Rab ka intekhaab hai
Mera Nabi lajawaab hai
Daamaad jin ka Sher-e-Khuda Bu Turaaab hai
Barkat, Karam, Shifa ka khazeena luaab hai
Jinke ghulam shaho ki azmat ko maat de
Kya shaan unki jinka paseena gulaab hai
Yaseen o Taha naam hai jinke Qur’an me
Ashaar ka sunau main unke bayaan me
Woh hi hai Muzzammil ha Mudassir bhi wohi hai
Taakat kaha se laau main apni zabaan mein
Shaqq-ul-Qamar ka mojiza qurbaan jaaiye
Toota hua dil jod ne is dar pe aaiye
Woh jaante hai dil me chupe raaz humare
Sab milke zara josh me naara lagaiye
Hai Meem ye kehta ke Muhammad hi the Dulha
hai Ain ka kehna ke safar Arsh ka woh tha
hai Ra se aya Raat, Alif kehta hai Allah
ye Jeem kahe Jaagte dekha tha woh Jalwa.
Rizwan kya bayaan kare shaan tumhari
Khud Saahibe Qur’an kare madha tumhari
Alhamd se wannaas talak padhte jaaiye
Har nuqtaye Qur’an kahe naat tumhari
Mera Nabi lajawaab hai