Ya Rab meri soi hui taqdeer jagaa de
Aankhein mujhe di hain to Madina bhi dikha de.
Sunne ki jo quwwat mujhe bakhshi hai Khuda wand
Phir Masjid e Nabawi ki azanein bhi suna de.
Hooron ki na ghilmaan ki na jannat ki talab hai
madfan mera Sarkar ki basti mein bana de.
Muddat se main in haathon se karta hoon duaein
In haathon main jaali woh sunehri bhi thama de.
Muh hashr mein mujh ko na chupana pade ya Rab
Mujh ko Tere Mehboob ke chaadar mein chupa de
Ishrat ko bhi ab khushbu e Hassan aata kar
Jo lafz kahein tu unhe naat bana de.
Ya Rab meri soi hui taqdeer jaga de
Ankhein mujhe di hein to Madinah bhi dikha de