Sarkaar e Do Aalam Ki Nazar Lyrics

Sarkaar e Do ‘Aalam Ki Nazar Mujh Pe Padi Hai
Pohchaa Hoon Wahan Khuld e Bareen Ki Jo Gali Hai
Aaya Jo Madine Me To Qismat Ne Pukaara
Bigri Huwi Taqdeer Yahan Aake Banee Hai
                                                     
Qadmon Ko Zara Hosh Se Is Khaak Pe Rakhna
Yeh Koo-e-Nabi Hai Arre Yeh Koo-e-Nabi Hai
Mehshar Ki Karee Dhoop Ka Khatka Nahi Mujh Ko
Chaadar Merey Sarkaar Ke Gesu Ki Tanee Hai
Lillah Mujhe Apna Rukhe Zaibaa Dikhaado
Palkon Me Meyri Deed Ki Khaatir Namee Hai
Aaqa Ke Dar e Paak Ke Mangte Hain Malaa-ik
Maayoos Nahi Koi Yeh Darbaar e Nabi Hai
De Daaliye Mujh Ko Bhi Ghulaami Ki Sanad Ab
Bakhshish Ko Mere Shah Yeh Khairaat Baree Hai
Shab Rote Huwe Sajde Me Sarkaar Guzaarein
Ummat Ki Ho Bakhshish Yahi Armaan e Nabi Hai
Allah Ko Mehboob Se Kitni Hai Mohabbat
Haan Taaha Wa Yaaseen Me Asraar e Jali Hai
Bulwate Rahe Mujh Ko Madine Me Hamesha
Ummeed Meri Aap Se Sarkaar Yahi Hai
‘Aalam Me Musalmaan Pareshaan Hain Pareshaan
Be Chain Nazar Aap Key Dar Pe Hee Jamee Hai
Maange Hee Chale Jaao Yahan Milta Hain Sab Kuch
Kis Cheez Ki Dar Par Mere Maula Ki Kamee Hai
Shakir Na Ho Ghamgeen Teri Jholi Bharain Ge

Moonh Maanga Milega Key Yeh Darbaar e Nabi Hai