Shahe Deen Ki Milad Ka Hai Mahina
Nibhaaya Mujhe Aur Bulaaya Madina
Rahe Mujh Pe Rehmat Ka Aaqa Tasalsul
Talab Ka Nahin Mujh Me Daata Qareena
Mubarak Ho Yaum e Wiladat Mubarak
Gulaamon Ki Jaanib Se Aaqa Mubarak
Khudaara ‘Ataa Ho Hame Bhi To ‘Eidee
Mile Hum Ko Shah Ki Taraf Se Mubarak
Nigah e Karam Mujh Pe Aaqa Ne Daali
Dikhayi Mujhe Apne Rouze Ki Jaali
Mere Dil Ke Armaan Bhi Poore Karenge
Nahin Lauta Is Dar Se Koi Bhi Khaali
Mili Itni Rif’at Ke ‘Arsh e Bareen Par
Nishaan e Qadam Hai Ye Uss Ki Jabeen Par
Me Baitha Hoon Qadmon Me Ab To Khudaara
Pade Naqsh e Paa Mere Dil Ki Zameen Par
Khada Hai Hawaadis Me Shakir Tumhaara
Bajuz Aap Ke Ab Nahin Hai Sahaara
Mite Ranj o Gham Ke Hain Jitne Bhi Baadal
Karam Ka Kare Ab Khudaara Ishaara