Ya Mustafa Ya Mujtaba
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salallah
Dikhaya hai Taiba ka mujh ko nazara
Ata karde bakhshish ka muzda khudara
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salallah
Ye ummat ki kashti bhanwar me phasi hai
Mile isko rehmo karam ka kinaara
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salallah
Kabhi unki ummat giraftaare gham ho
Ho kaise Shahe Ambiya ko gawara
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salallah
Bhari Aap ne jholiya sab ki dam me
Kahi se Tumhe jab kisi ne pukaara
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salallah
Humaare saro se chatey gham ke baadal
Karo Aap gar Ungliyon se ishaara
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salallah
Base mere dil me Shahedi ki ulfat
Tumhare liye jaan kardu nisaara
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salallah
Jo waqte nazaa rooh tan se judaa ho
Mujhe apne rukh ka karaa do nazaara
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salallah
Hai Zikre Nabi se mere dil ki thandak
Hai Naame Nabi meri aankhon ka taara
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salallah
Kaha mujh sa aasi kaha Tum sa waali
Karam ka mujhe apne de do sahara
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salallah
Hume hai tumhare karam par bharosa
Tumhare siwa kaun ab hai humara
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salallah
Sawar jaaye Shakir ki qismat yaqeenan
Agar aap keh do ke tu hai humara
Ata karde bakhshish ka muzda khudara
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salallah