Sab se baala wa waala humara Nabi
Apne Maula ka pyara humara Nabi
Dono(n) aalam ka dulha humara Nabi
Bazme aakhir ka sham’a farozaa(n) huwa
Noore awwal ka jalwa humara nabi
Jis ko shaayaa(n) hai Arshe Khuda par juloos
Hai woh Sultane waala humara Nabi
Bujh gayi jis ke aage sabhi mash-ale(n)
Sham’a woh lekar aaya humara Nabi
Jis ke talwo(n) ka dhowan hai aabe hayaat
Hai woh Jaane Maseeha humara Nabi
Arsho Kursi ki thi(n) aayina bandiyaa(n)
Suye Haq jab sidhaara humara Nabi
Khalq se Auliya Auliya se Rusul
Aur Rasoolo se Aa’la humara Nabi
Husn khata hai jis ke namak ki qasam
Woh maleehe dilaara humara Nabi
Zikr sab feeke jab tak na mazkoor ho
Namaki(n) husn wala humara Nabi
Jis ki do boondh hain kausaro sal-sabeel
Hai woh rehmat ki dariya humara Nabi
Jaise sab ka Khuda ek hai waise hi
Inka unka tumhara humara Nabi
Qarno(n) badli Rasoolo(n) ki hoti rahi
Chand badli ka nikla humara Nabi
Kaun deta hai dene ko munh chahiye
Dene waala hai sachcha humara Nabi
Kya khabar kitne taare khile chup gaye
Par na doobe na dooba humara Nabi
Mulke Kaunain mein Ambiya taajdaar
Taajdaro(n) ka Aaqa humara Nabi
Laa maqaa(n) tak ujaala hai jis ka woh hai
Har maqaa(n) ka ujaala humara Nabi
Saare achcho(n) mein achcha samajhye jise
Hai us achche se achcha humara Nabi
Saare ooncho(n) mein ooncha samajhye jise
Hai us oonche se ooncha humara Nabi
Ambiya se karu(n) arz kyun maaliko
Kya Nabi hai tumhara humara Nabi
Jisne tukde kiye hain qamar ke woh hai
Noore wahdat ka tukda humara Nabi
Sab chamak wale ujlo(n) mein chamka kiye
Andhe sheesho(n) mein chamka humara Nabi
Jisne Murda dilon ko di umre abad
Hai woh jaane maseeha humara nabi
Ghamzado(n) ko Raza muzda dije ki hai
Be kaso ka sahara humara Nabi
(Sallallahu alahi wa sallam)