Guzre jis raah se woh Sayyide wala hokar
Reh gayi saari zamee(n) ambare saara hokar
Rukhe anwar ki tajalli jo qamar ne dekhi
Reh gaya bosa dahe nakshe kafe pa hokar
Waye mehroomiye qismat ki main phir ab ki baras
Reh gaya hum-rahe zawware Madina hokar
Chamane Taiba hai woh baagh ki murge sidra
Barso chahke hain jaha bulbule shaida hokar
Sar-sare dashte Madina ka magar aaya khayaal
Rashke gulshan jo bana gunchaye dil waa hokar
Goshe shah kehte hain fariyaad rasi ko hum hain
Wa’daye chashm hai bakhshaenge goya hokar
Paaye shah pe gire ya rab tapushe mehar se jab
Dil betab ude hashr mein para hokar
Hai ye ummeed Raza ko teri rehmat se shaha
Na go zindaaniye dozakh tera banda hokar