Kiske jalwe ki jhalak hai ye ujala kya hai
Har taraf dedaye hairat zada takta kya hai
Maang man maanti muh maangi muraaden lega
Na yaha ‘naa’ hai na mangta se ye kehna ‘kya hai’
Pand kadwi lage naaseh se tursh ho aye nafs
Zehre isyaa(n) mein sitamgar tujhe meetha kya hai
Hum hain unke woh hain tere to huwe hum tere
Isse badhkar teri samt aur waseela kya hai
Unki ummat mein banaaya unhen rehmat bheja
Yoon na farma ki tera rehmat mein da’wa kya hai
Sadqa pyare ki hayaa ka ki na le mujh se hisaab
Bakhsh be pooche lajaaye ko lajaana kya hai
Zaahid unka main gunahgaar woh mere shaafe’
Itni nisbat mujhe kya kam hai tu samjha kya hai
Be basi ho jo mujhe pursishe aa’maal ke waqt
Doston kya kahu us waqt tamanna kya hai
Kaash fariyaad meri sunke ye farmaaye Huzoor
Haan koi dekho yeh kya shor hai ghogha kya hai
Kaun aafat zada hai kis pe bala tooti hai
Kis musibat mein giraftaar hai sadma kya hai
Kis se kehta hai ki lillah khabar lije meri
Kyun hai betaab yeh bechaini ka rona kya hai
Iski bechaini se hai khaatire aqdas pe malaal
Be kasi kaisi hai poocho koi guzra kya hai
Yoon malaaik karen maa’rooz ki ik mujrim hai
Usse pursish hai bata tune kiya kya kya hai
Saamna qahar ka hai daftare aa’maal hain pesh
Dar raha hai ki Khuda hukm sunata kya hai
Aap se karta hai fariyaad ki ya Shaahe Rusul
Banda bekas hai shaha rehem mein waqfa kya hai
Ab koi dum mein giraftaare bala hota hoon
Aap aa jaayen to kya khauf hai khatka kya hai
Sun ke arz meri behre karam josh mein aaye
Yoon malaaik ko ho irshaad theherna kya hai
Kis ko tum mooride aafat kiya chahte ho
Hum bhi to aake zara dekhe tamasha kya hai
Unki aawaaz pe kar utthu(n) main be saakhta shor
Aur tadap kar ye kahoon ab mujhe parwa kya hai
Lo woh aaya mera haami mera gham khwaare umam
Aa gayi jaa(n) tane be jaa(n) mein ye aana kya hai
Phir mujhe daamane aqdas mein chupa le(n) sarwar
Aur farmaye hato is pe takaazaa kya hai
Banda aazaad shuda hai ye humare dar ka
Kaisa lete ho hisaab is pe tumhara kya hai
Chchod kar mujhko farishte kahen mahkoom hai hum
Hukme waala ki na taa’meel ho zahra kya hai
Ye samaa dekh ke mehshar mein uthe shor ki wah
Chashme bad-door ho kya shaan hai rutba kya hai
Sadqe is reham ke is saaya e daaman pe nisaar
Apne bando ko musibat se bachaya kya hai
Aye Raza jaane anaadil tere nagmon ke nisaar
Bulbule baage Madina tera kehna kya hai