Phir Ke Gali Gali Tabaah Naat Lyrics

Phir ke gali gali tabaah thokare(n) sab ki khaye kyun
Dil ko jo aql de khuda teri gali se jaaye kyun

Rukhsate qaafila ka shor gash se humain uthaye kyun
Sote hain unke saaye mein koi humain jagaaye kyun

Baar na the Habeeb ko paalte hii gareeb ko
Royen jo ab naseeb ko chain kaho ganwaye kyun

Yaade Huzoor ki qasam gaflate aish hai sitam
Khoob hai qaide gham mein hum koi humein chchudaye kyun

Dekh ke Hazrate Ghani fail padhe fakeer bhi
Chaayi ab to chauni hashr hi aa na jaaye kyun

Jaan hai ishqe Mustafa roz fuzoo(n) kare Khuda
Jis ko ho darf ka maza naaze dawa uthaye kyun

Hum to hain aap dil figaar gham mein hansi hai na gawaar
Ched ke gul ko nau bahaar khoon humein rulaye kyun

Yanto yun hi tadap ke jaaye(n) ya wohi daam se chchudaaye(n)
Minnate gair kyun uthaye(n) koi  taras jataaye kyun

Unke jalaal ka asar dil se lagaaye hai qamar
Jo ki ho lot zakhm par daaghe jigar mitaaye kyun 

Khush rahe gul se andaleeb khaare haram mujhe naseeb
Meri bala bhi zikr par phool ke khaar khaye kyun

Garde malaal agar dhule dil ki kali agar khile
Barq se aankh kyun jale rone pe muskuraye kyun

Jaane safar naseeb ko kis ne kaha maze se ho
Khatka agar sehar ka ho shaam se maut aaye kyun

Ab to na rok aye ghani aadate sag bigad gayi
Mere kareem pehle hi lukmaye tar khilaye kyun

Raahe Nabi me kya kami farshe bayaaz deeda ki
Chadare zil hai malgaji zere qadam bichaye kyun

Sange dare Huzoor se hum ko khuda na sabr de
Jaana hai sar ko jaa chuke dil ko karaar aaye kyun

Hai to Raza niraa sitam jurm pe gar lajaaye hum
Koi bajaaye soze gham saaze tarab bajaaye kyun