Mila hai rehmato ka saaya
Tune hi badly hai meri kaaya
Aye Khudaaya
Mere lab pe Hamd o Sanaa ho
Tera shukr phir na adaa ho
Mera sar ye mere Khudaaya
Tere aage har dam jhuka ho
Yun teri adaah me guzre
Meri umr yeh bakaaya
Aye Khudaaya
Har soo tere hai ujaale
Sabhi girte tune sambhale
Teri ek Nazare Karam ne
Diye mujh ko kitne hawaale
Tera ishq paaya na jisne
Kuch bhi na usne paaya
Aye Khudaya
De mujh ko taufeeq maula
Banu be kaso ka sahaara
Khalqat ko du har khushi main
Unhe baatu fir se hansi main
Mera hona bhi hai bemaani
Kisi kaam jo na aaya
Aye Khudaya
Huwa jis pe tera karam hai
Wohi haq pe saabit qadam hai
Tu mujhe bhi apna banaale
Mere maula mujh ko bachaale
Mai bhi bheegu Abre Karam me
Tu badal de meri kaaya
Aye Khudaya
Mushkil ghadi se aafat se
Meri mulk ko tu bachaana
Hume aye Khudaya ataa ho
Khushiyon bhara fir thikaana
Hum sab ke hi buzurgon ne
Jise de ke jaan banaaya
Aye Khudaya
Teri khaas hum pe ataa hai
Tune behisaab baksha hai
Ye Aqeel teri ne’mat par
Har dum hi shukr karta hai
Tune Shahe Kul ka jahaan me
Hume ummati banaya
Aye Khudaya