Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Naat Lyrics

Sidra se bhi aage kaun gaya jibril e amin se poocho
meraj ka dulha kaun bana jibril e amin se poocho
 
Kya hai tauqeer e shah e umam
Insaan se ho paye na raqam
kya farshe zamin kya arshe bari
Sab hai aaqa ke zere qadam
Sultan e madina ka rutba jibril e amin se poocho
 
Sidra se bhi aage kaun gaya jibril e amin se poocho
 
Gibril se rabne farmaya
Jannat ki sawari lekar jaa
mehboob se ye jaakar keh dena
Ab aake kare wo sair zara
fir kaise hui tamil e khuda jibril e amin se poocho

Sidra se bhi aage kaun gaya jibril e amin se poocho 
 
Hai mehwe rahat shah e deen,
Shasopanj may hai jibril e amin
bedar kare kaise seh ko,
Ho jaye kahi na beadbi
taazime nabi hoti hai kya jibril e amin se pooch

Sidra se bhi aage kaun gaya jibril e amin se poocho
 
Paas aake rasool e azam ke
Paoo ke janib khade hue
taazim baja laye pehle
Fir paoo pe noori lab rakh ke
talwo ko diya hai kyun bosa jibril e amin se poocho
Sidra se bhi aage kaun gaya jibril e amin se poocho
 
Aqsa may sawari jab pohnchi
Nabiyo ki jamaat haazir thi
karne ko adaa rab ka sajda

Saf basta jamaat khadi hui
hai sharf e imamat kise mila jibril e amin se poocho

Sidra se bhi aage kaun gaya jibril e amin se poocho

Pohnche aakhir us manzil per 
jalte hai jahan jibril ke par
jibril ruke sarkaar badhe 

pohnche hai arsh e azam par
mehman e khuda hai kaun bana jibril e amin se
poocho