Khushbu Se Aalam Mehkaana Lyrics

Khushbu se aalam mehkana sab ke bas ki baat nahi
Taareeki ko noor banana sab ke bas ki baat nahi


Hashr ki dhoop ki shiddat me hum jaise pyaso ko logo
Jaam e Qausar bhar ke pilana sab ke bas ki baat nahi

Jaao dhoondo aur kisi ko sab Nabiyon ne farmaya
Ummat ko daman me chupana sab ke bas ki baat nahi

Jin par khas karam wo karde wo hi bazm sajaate hai
Naat e Nabi ka sunna sunana sab ke bas ki baat nahi

Aati hai Karbal se ye sada deewano naam e Muhammed par
Ghar ka lutaana sar ka katana sab ke bas ki baat nahi

Gaus ne murdo ko hai jilaya aur hai khawaja ki hai ye shaan
Kooze me sagar bharwana sab ke bas ki baat nahi

Kya hai fana aur kya hai baqa ye Sabire paak ne samjhaya
Apna janaza aap padhana sab ke bas ki baat nahi

Aala hazrat ne kitno ko kalma padhaya hai ye sawal
Laakhon ka imaan bachana sab ke bas ki baat nahi

Pyare RAZA ki nisbat murshid hazrate Akhtar se hai mili
Ishq e NABI ka jaam pilana sab ke bas ki baat nahi

Shakir e Razvi par mere Maula aur karam balaye karam 
Aalam me tehreek chalana sab ke bas ki baat nahi

Sunni Dawate Islami par Aaqa ka hai khas karam
Warna aisi bazm sajaana sab ke bas ki baat nahi

Garche gunaah hai had se ziyada Rashid e Razvi ke lekin
Aibi ko daman me chupana sab ke bas ki baat nahi