Sab Se Aula Wo Aala Humara Nabi
Sab Se Baala Wo Aala Humara Nabi
Arsh E Aazam Ka Taara Humara Nabi
Noor Saara Ka Saara Humara Nabi
Khud Khuda Ne Sawaara Humara Nabi
Apne Maula Ka Pyara Humara Nabi
Dono Aalam Ka Dulha Humara Nabi
Jiske Sar Par Shafa’at Ka Sehra Bandha
Kaaba Qausain Ka Jisko Rutba Mila
Jiska Chehra Hai Aaina’ye Haq Numa
Bazme Aakhir Ka Shamae Firoza Hua
Noore Awwal Ka Jalwa Humara Nabi
Uske Ausaaf Ginti Me Kab Aa sake
Jiske Kooche Pe Qurbaan Sab Jannate
Badshaho Ke Sar Jiske Aage Jhuke
Bujh Gayi Jis ke Aage Sabhi Mash-ale
Shamma Wo Lekar Aaya Humara Nabi
Jisne Dekha Hai Khaliq Ko Asra Ki Raat
Hai Kalaqm E Khuda Jis ki Har Ek Baat
Jiske Ke Dum Se Hai Kauno Makaa Ko Sabaat
Jiske Talwo Ka Dhowan Hai Aabe Hayaat
Hai Wo Jaane Maseeha Humara Nabi
Shabe Asra Ke Jalwo Ka Kya Ho Bayaan
Buk’aye Noor The Sab Zameen Aasman
Kya Bataau Tumhe Kya Tha Us dum Samaa
Arsho Kursi Ki Thi Aaina Bandiya
Sue Haq Jab Sidhaara Humara Nabi
Sarware Ambiya Malike Juz Wo Kul
Woh Hai Nabiyo Me Yu Jaise Guncho Me Gul
Baat To Saaf Hai Phir Ye Kyun Shoro Gul
Khalq Se Auliya, Auliya Se Rusul
Aur Rasoolo Se Aala Humara Nabi
Arshe Aazam Ki Izzat Hai Jiske Qadam
Jiske Qabze Me Hai Ilme Lauho Kalam
Jiske Baa’is A’yaa Hai Uduso Kidam
Husn Khata Hai Jiske Namak Ki Qasam
Wo Maleehe Dil aara Humara Nabi
Lakhon Aaye Yaha Aur Lakhon Gaye
Unche Unche Shehenshah Yaha Na Ruke
Kitne Jalte Diye Jalke Phir Bujh Gaye
Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye
Par Na Doobe Na Dooba Humara Nabi
Mangne Walo Tum Ko To Yu Chahiye
Unse Hi Mange Dil Ko Sukoon Chahiye
Mangna Aur Kisi Se Bhi Kyun Chahiye
Kaun Deta Hai Dene Ko Muh Chahiye
Dene Wala Hai Sachcha Humara Nabi
Mere Aaqa Ki Mamnoon Har Ek Shai
Unka Ehsaan Har Zarre Zarre Pe Hai
Kahiye Sayyed Se Aaho Buka Na Bake
Ghumzado Ko Raza Muzda Dije Ke Hai
Bekaso Ka Sahara Humara Nabi