Pul se utaaro raah guzar ko khabar na ho
Jibreel par bichaye to par ko khabar na ho

Kaanta mere jigar se ghame rozgaar ka
Yun kheench lijiye ke jigar ko khabar na ho

Fariyaad ummati jo kare haale zaar mein
Mumkin nahi ki khaire bashar ko khabar na ho

Kehti thi ye buraaq se uski subuqrawi
Yun jaaiye ki garde safar ko khabar na ho

Farmate hain ye dono hain sardare do jahaan
Aye Murtaza! Ateeqo Umar ko khabar na ho

Aisa guma de unki wila mein Khuda humein
Dhoonda kare par apni khabar ko khabar na ho

Aa Dil ! Haram ko rokne waalon se chupke aaj
Yoon uth chalen ki pehluoo bar ko khabar na ho

Taire haram hain ye kahi(n) rishta bapaa na ho
Yoon dekhiye ki taare nazar ko khabar na ho

Aye khaare Taiba ! dekh ki daaman na bheeg jaaye
Yoon dil mein aa ki deedaye tar ko khabar na ho

Aye shauqe dil ! ye sajda gar unko rawa nahi
Achcha ! woh sajda keeje ki sar ko khabar na ho

Unke siwa RAZA koi haami nahi jahaa(n)
Guzra kare pisar pe pidar ko khabar na ho