Ishq e Maula me khoonbaar kanaare daman
Ya Khuda jald kahi(n) aaye bahare daaman
Ya Khuda jald kahi(n) aaye bahare daaman
Beh chali aankh bhi ashqon ki tarah daaman par
Ke nahi(n) taare nazar juz do seh taare daaman
Ke nahi(n) taare nazar juz do seh taare daaman
Ashq barsaau(n) chale khoochaye janaa(n) se naseem
Ya khuda jald kahi(n) nikle bukhare daaman
Dil shudo(n) ka hua daamane athar pe hujoom
Be-dilaabaad hua naame dayaare daaman
Be-dilaabaad hua naame dayaare daaman
Mushk sa zulfe shaho noor fasha(n) ruye Huzoor
Allah Allah halabe zebo tataare daaman
Allah Allah halabe zebo tataare daaman
Tujhse aye gul main sitam deedaye dashte hirmaa(n)
Khalishe dil ki kahu(n) ya ghame khaare daaman
Khalishe dil ki kahu(n) ya ghame khaare daaman
Aks afgan hai hilaale labe shah zeb nahi(n)
Mehre aariz ki shuaaye(n) hain na taare daaman
Mehre aariz ki shuaaye(n) hain na taare daaman
Ashk kehte hain ye shaidaayi ki aankhen dho kar
Aye adab garde nazar ho na gubaare daaman
Aye adab garde nazar ho na gubaare daaman
Aye Raza aah woh bulbul ke nazar me jiski
Jalwaye zebe gul aaye na bahare daaman