Jalwa Hai Noor Hai Ke Saraapa Raza Ka Hai
Tasweer-e-Sunniyat Hai Ke Chehra Raza Ka Hai
Waadi Raza Ki Kohe Himaala Raza Ka Hai
Jis Samt Dekhiye Woh Ilaaqa Raza Ka Hai
Dastaar Arahi Hai Zameen Par Jo Sar Uthe
Itna Buland Aaj Pharera Raza Ka Hai
Kis Ki Majaal Hai Jo Nazar Bhi Mila Sake
Darbar-e-Mustafa Mein Thikana Raza Ka Hai
Alfaz Beh Rahe Hain Daleelon Ki Dhaar Par
Chalta Hua Qalam Hai Ke Dhara Raza Ka Hai
Choota Hai Aasman Ko Minaar Azm Ka
Yaani Atal Pahad Irada Raza Ka Hai
Nukte Ibaraton Se Ubharte Hai Khud Ba Khud
Naqd o Nazar Pe Aisa Ijaara Raza Ka Hai
Darya Fasahaton Ke Rawaan Shayri Mein Hai
Yeh Sehl-e-Mumtane Hai Ke Lehja Raza Ka Hai
Jo Likh Diya Hai Usne Sanad Hai Woh Deen Mein
Ahle Qalam Ki Aabru Nukta Raza Ka Hai
Aglon Ne Bhi Likha Hai Bohat Ilm-e-Deen Par
Par Jo Kuch Hai Is Sadi Mein Woh Tanha Raza Ka Hai
Is Dour-e-Pur Fitan Nazar Khush Aqeedgi
Sarkar Ka Karam Hai Waseela Raza Ka Hai