Wo utthi dekh lo garde sawaari
Ayaan hone lage anwaare Baari
Naqeebon ki sadaaye aa rahi hain
Kisi ki jaan ko tadpa rahi hain
Muaddab haath bandhe aage aage
Chale aate hai kehte aage aage
Fida jin ke sharaf par sab Nabi hain
Yahi hain wo yahi hain wo yahi hain
Yahi waali hai saare bekason ke
Yahi faryaad ras hai bekaon ke
Yahi toote dilon ko jodte hain
Yahi bande alam ko todte hain
Aseeron ke yahi uqda kusha hain
Gareebon ke yahi haajat rawa hai
Yahi hain be kalon ki jaan ki kal
Inhi se theek hai imaan ki kal
Shakeebe be qaraaran hai inhi se
Qaraare dil figaaraan hai inhi se
Inhi se theek hai saamane aalam
Inhi par hai tasadduq jaane aalam
Yahi mazloom ki sunte hain faryaad
Yahi karte hain har nashaad ko shaad
Inhi par dono aalam mar rahe hain
Inhi par jaan sadqa kar rahe hain
Inhi se karti hai faryaad chidyaan
Inhi se chahti hai daad chidyaan
Inhi ko ped sajde kar rahe hain
Inhi ke paaw par sar dhar rahe hain
Inhi ki karti hain ashjaar taazeem
Inhi ko karte hain ahjaaz tasleem
Inhi ko sab yaad karte hain gham mein
Yahi dukh dard kho diye hain dum mein
Yahi karte hai har mushkil me imdaad
Yahi sunte hain har bekas ki faryaad
Inhe har dam khyaale aasiyaan hai
Inhi par aaj baare do jahaan hai
Kise qudrat nahi maloom unki
Machi hai do jahaan mein dhoom unki
Sahaara hai yahi toote dilon ke
Yahi marham hain gham ke gaailon ke
Fazoon rutba hai subho shaam unka
Muhammad Mustafa hai naam unka
Muzayyan sar pe hai taaje shafa’at
Ayaan hai jisse me’raaje shafa’at
Sawaari mein hujoome aashiqaan hai
Koi chup hai koi mahwe fagaan hai
Koi daaman se lipat-ta ro raha hai
Koi hai gaan mahwe iltijaa hai
Koi kehta hai haq ki shaan hai ye
Koi kehta hai meri jaan hai ye
Ye kehta hai koi beemare furqat
Taraqqi par hai ab azaare furqat
Idhar bhi ik nazar o taaj waale.
Koi kab tak dile muztar sambhale
Bohot nazdeek aa pohcha wo pyara
Fida hai jaano dil jin par humara
Uthe taazeem ko yaaraane mehfil
Hua jalwa numa wo jaane mehfil
Kalaam: Ustade Zaman Allama Hasan Raza Khan Alaihi rehma