Naam jis ka sun ke aata hai har ik dil ko qaraar

Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar
Laa fataa illaa Ali Laa saifa illa Zulfiqaar

Naam jis ka sun ke aata hai har ik dil ko qaraar
Zikr jis ka har zabaa par aaraha hai baar baar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Naara-e-Yaa Hyderi se kaanpta har iqtedaar
Naame Moula se hai baatil quwwato me inteshaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Hydar-e-Karrar jin ka naame naami hai suno
Roze Maida usko paya hai har ik jaa shah sawaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Yaa Ali mushkil kusha mai ne pukara jab kabhi
paya har mushkil me beshak unko apna gham gusaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Aisa lagta hai kisi lab par hai naame Murtaza
Aas paas apne fiza lagti hai jaise mushk baar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Sar balandi jis se paai mazhabe Islaam ne
Deen ki khatir huwa jo baise sad iftekhaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Aye Ghulamaane Ali gham ki na karna koi fikr
Un se to khaibar bhi takra kar huwa hai sharmsaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Jab bhi batil quwwaten unke muqabil me huin
Unko apnani padi phir dekhiye raahe firaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Thi Namaaz unki janaabe baari me maqbool yu
Doobe suraj ko Khuda ne kar diya phir istiwaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Wo biradar hain Nabi ke Shohare Zahra Batool
Unke paaye ka na paaya hai miyaane sad hazaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Soonghte hain unke beto ko Nabi misle gulaab
Doshe aqdas par unhe karte hain khud apne sawaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Sarbalandi is se badh kar kya kisi ko mil sake
Khud Ali ko dosh par Aaqa karen apne sawaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Momine kaamil ka chehra naam se unke khile
Aur munafiq naame Moula sun ke howe sogwaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Unki ulfat jaane imaa hai suno aye Momino
bughz se unke huwa karte hain chehre daagdaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Naame Hyder sun ke kaliya qalb ki yaksar khilen
Lahlahaye dil ki weerani me ik taaza bahaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Aye masaib door rahna kyu ki Sarwar ne abhi
Naame Hyder se kiya hai ird gird apne hisaar
Shaahe Mardaa Shere Yazdaa Quwwate Parwardigaar

Written by Maulana Abdullah Sarwar Azmi Najmi.